Allah ne hame jindgee di he or jindgee me kabhi raat kabhi din, - TopicsExpress



          

Allah ne hame jindgee di he or jindgee me kabhi raat kabhi din, kabhi hasi , kabhi gam , ate rehte he par Allah ne hame apne har achhe bure din me kayse uska sukar Ada karna or kayse usko pareshani me yaad karna Quran ke jariye hame sikhaya he .. (1) agar tum udas ho Quran -2:25 ki ayat ka virad kar (2) tumse gunah ho Gaye - 9:53 (3) tum pareshan ho -5:16 (4) tumhe koi apna pareshan kar raha he --2:257 (5) tumhe sadam pohcha -13:38 (6) jab tum jindgee se mayus ho jao -12:87 (7) tum se sakhatiya bardasht nahi hoti -5:94 (8) agar kise se ladai ho gayi -25:63 (8) koi apko Dara , dhamki de raha he -2:62 (9) tumhe lagta he tumse koi pyar nahi karta Sab chhut raha he -21:30 (10) logo ke kusur maaf karna -3:135 Allah ne Quran ki insab ayato se hame kayse halat , moke or pareshaniyo me jindgee Jina kayse Quran ke jariye Allsh se duwa e madad magna or sabar pana bataya he . .. :---- log kabhi jindgee me ayse halat pe mayus hokar khud khusi karlete he .. Dimagi santulan kho betha te he isi liye Allah ki in sari (10) Quran ki ayato ka tarjuma yaad karlo varna jis moke halat par Jo ayat set ho us waqt padho jayse koi apko dhamki ya de raha he ap Quran ke 2 pare me ayat no 62 ka vird ( padha ) na suru karde or vayse Quran ap jitni baar ak ayat samjo ge har baar apko naya hi samjne ko milega or vayse pura Quran paydais se lekar moat or uske baad ki jindgee ka mesaj he Jo samaj Gaya vo kamyab ho Gaya Allah ham sabko samjne or Amal karne ki neak toafik ata farmaye Aamin... ******************************* Fatma Acchava facebook/canada78/19376680784133
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 15:16:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015