Allama Iqbal said: Dasht-e-Karbal mein khara soch raha tha - TopicsExpress



          

Allama Iqbal said: Dasht-e-Karbal mein khara soch raha tha Islam Faida kiya huwa kafir ko musalman ker kay ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Daag-e-sajood agar teri payshani per huwa tou kiya Koi aisa sajda bhi ker kay zameen per nishan rahay ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Zarurat torr deti hey guroor-o-bay-niyazi ko No hoti koi majboori tou har banda Khuda hota ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Bayan sir-e-shahadat ki agar tafseer ho jaye Musalmano ka qibla Roza-e-Shabbir ho jaye Masjid ki safon se kabhi maqtal ki taraf dekh Tauheed tujhay shabbir kay sajdon mein milay gi Mita do zulm wahan se jahan jahan bhi dikhay Is se behtar nahi hoga inteqam-e-Husain ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Sonay do agar wo so raha hey ghulami ki neend mein Ho sakta hey wo khuwab azaadi kay dekh raha ho ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Bazoo per bharosa hey tou insaaf na maango Is dour mein pachtao gey zanjeer hila ker ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Yeh Ibadat-e-Khuda hey sodagari nahi hey ghafil Aey bay-khabar jaza ki tamanna bhi chorr dey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Juloos-e-Aza mein matamdari kerna Muhabbat-e-Husain hey Aur musallay per ibadat kerna Maqsad-e-Husain hey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Masjid ki safon se kabhi maqtal ki taraf dekh Tauheed tujhay Husain kay sajday se milay gi ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Wo sajda rooh-e-zameen jis se kaanp jati thi Usi ko aaj tarastay hain mimber-o-mehraab ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Islam ko fana se bachanay kay waastay Qudrat ne Karbala mein pukara Husain ko ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Khuda ko bhool gaye log fikr-e-rozi mein Iqbal Talash rizq ki hey aur Raziq ka khayal nahi ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said (count girls’ names in this poetry): Wohi guftagu ka andaz wohi Shaista lehja Neelam jaam hey Feroza deedar lehja Zuban mein Tarannum-e-Nighat ghazali Naghma dil awaz Seema lehja Shireen kalaam per Shama Mehjabeen Tabassum se Roshan Aara jamal lehja Naseem chali tou pheyl gai Khushbu charsoo Aur Gul-e-Rukh se Nuzhat Mehak lehja Pyar ki Tehreem ko Sehar tak andaz likha Aur Farheen kay chaman sa ujala lehja ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Ya Allaah! Is dasht kay sehra ko samandar ker dey Ya meri aankh kay har ashk ko patthar ker dey Aey Allaah mein aur nahi kuch Tujh se maangta Meri chadar meray payron kay brabar ker dey Mujhay gayr na ley ye aatish-e-dunya kaheen Mujh per Apni Rehmat ka saya ker dey Mujhay khaak na ker dey meri hasti ka ghuroor Mujhay meray nafs se moutabar ker dey Aey Khuda meri duaon mein wo asar ker dey Maangu mein Tujh se qatra aur Tu samandar ker dey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Nabi jo hota meray baad tou umar hota Ajeeb baat ye yaaron ne aam kerdi hey Mujhay yaqeen hey Iqbal meray Allaah ne Isi liye tou Nabuwat tamam kerdi hey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Masjid Khuda ka ghar hey peenay ki jagah nahi Kafir kay dil mein ja wahan per Khuda nahi Ahmed Faraz said: Kafir kay dil se aaya hoon mein ye dekh ker Khuda mojood hey wahan magar usay pata nahi Sahil said: Dil-e-kafir mein Khuda tou hey lekin Khof-e-Khuda nahi Ghalib, Iqbal aur Faraz ko shayad pata nahi ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo Jo raaz na rakh paye hum-raaz badal dalo Tum ne bhi suni hogi bari aam kahawat hey Anjam ka ho khatra aghaz badal dalo Pur-soz dilon ko jo muskan na dey paye Sur hi na milay jis mein wo saaz badal dalo Dushman kay iradon ko hey zahir agar kerna Tum khel wohi khelo andaz badal dalo Aey dost karo himmat kuch door sawera hey Agar chahtay ho manzil tou perwaz badal dalo ---------------------------------------------------- Kisi ne Allama Iqbal se poocha: Aqal ki inteha kiya hey? Allama Iqbal replied: Heyrat. Phir poocha: Heyrat ki inteha kiya hey? Allama replied: Ishq. Phir poocha: Ishq ki inteha kiya hey? Allama replied: Ishq La-Inteha hey. Phir poocha: Magar aap ne likha hey “Teray ishq ki inteha chahta hoon”. Allama replied: Tou doosray misray mein apni ghalti ka aiteraf kiya hey “Meri saadgi dekh kiya chahta hoon”. ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Basher ki sar-bulandi mein bhi koi raaz hota hey Jo sar dey dey sar-e-maydaan wo sarfaraz hota hey Jahan per khatam hoti hain hudood-e-aqal-e-insaani Wahan se Murtaza ki shan ka aghaz hota hey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Mein faqeeron se bhi kerta hoon tijarat aksar Jo ek paisay mein laakhon ki dua detay hain ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Goongi ho gai aaj zuban kuch kehtay kehtay Hich-kicha gaya mein khud ko musalman kehtay kehtay Ye baat nahi kay mujh ko Us per yaqeen nahi Bas dar gaya khud ko sahib-e-emaan kehtay kehtay Tofeeq na hui mujhay ek waqt ki namaz ki Aur chup huwa moazzin azaan kehtay kehtay Kisi kafir ne jo poocha kay ye kiya hey maheena Sharam se paani huwa mein Ramzan kehtay kehtay Meray shelf mein gard se utti Kitaab ka jo poocha Mein garrh gaya zameen mein Quran kehtay kehtay Ye sun ker chup saadh li Iqbal phir us ne Youn laga jesay ruk gaya ho mujhay heywaan kehtay kehtay ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Shikwa-e-ashk nahi jurrat-e-guftaar nahi Meray haathon mein koi jabr ki talwaar nahi Ibn-e-Adam hoon Husain se muhabbat ki hey Aag ka chaand ka patthar ka paristaar nahi Aey Khuda mujh ko ibadat kay evaz meri muhabbat dey dey Mein Teri kisi jannat ka khareedaar nahi Jis ne Husain se muhabbat hi na ki ho Iqbal Dar-haqeeqat wo Khuda ka bhi talabgaar nahi ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Na murawwat na muhabbat na khuloos hey Iqbal Mein tou sharminda hoon is dour ka insaan ho ker ---------------------------------------------------- Shikwa: Roz-e-hashar mein baykhoof ghuss jaon ga jannat mein Waheen se aaye thay Adam wo meray baap ka ghar hey Jawab-e-Shikwa: In aamaal kay sath tu jannat ka talabgar hey kiya Wahan se nikalay gaye thay Adam tou teri auqaat hey kiya (Allama Iqbal) ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Baat sajdon ki nahi khuloos-e-niyat ki hoti hey Iqbal Aksar log khali hath lout aatay hain har namaz kay baad ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Aatay hain aksar samandar mein toofan is liye bhi Jab yaad aati hey samandar ko piyasay Husain ki ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Sajdon kay ewaz firdous milay ye baat mujhay manzoor nahi Baylos ibadat kerta hoon banda hoon Tera mazdoor nahi ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Tu haqeeqat se hey baykhabar na dekh Ali ko mijaz mein Ye wo shabista raaz hey jo na aaye ga teray dimagh mein Dar-e-Zahra per rakhna jo sar tou awaaz aai O Baykhabar Teray wo bhi sajday ada huway jo qaza huway thay namaz mein ---------------------------------------------------- Allama Iqbal ek din kaheen ja rahay thay kay raastay mein un ki nazar ek Hindu Larki per parri, larki bohat khoobsurat thi, Allama Iqbal usay baray ghor se dekh rahay thay. Hindu Girl said: Apnay se ooncha jo sanam dekhtay hain Zindagi mein ranj-o-alam dekhtay hain Allama Iqbal replied: Na tujh se garz hey na teri surat se garz Hum tou Bananay Walay ka qalam dekhtay hain ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Parindon ki dunya ka darvesh hoon mein Kay shaheen banata nahi aashiyana ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Sonay do agar wo so raha hey ghulami ki neend mein Ho sakta hey wo khuwab aazadi key dekh raha ho ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Kosar ki salasal ka dawa na kijiye Mehfil mein reh ker gham ka adawa na kijiye Zillat ki zindagi se behtar hey laakh mout Choti si zindagi per roya na kijiye ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Safar-e-Shaam likha aur qalam torr diya Gham-e-Sarkar likha aur qalam torr diya Ek unwaan liya piyas ka likhnay kay liye Likh liya naam-e-Sakina aur qalam torr diya Ek unwaan mila mujh ko jawani per likhoon Naam Akbar ka likha aur qalam torr diya Socha unwaan-e-wafa per bhi zara ghor karoon Lafz Abbas likha aur qalam torr diya Kiya karoon soch mein unwaan baray aatay hain Hath seenay per rakha aur qalam torr diya Likhta chadar per magar mujh ko jurrat na hui Jee bhar kay aansu bahaye aur qalam torr diya ---------------------------------------------------- Kuch log Allama Iqbal kay ek shair ko aisay likhtay hain: Royen wo jo munkir-e-shahadat-e-Husain hain Hum zinda-o-javed ka matam nahi kertay Allama Iqbal kay asal ashaar ye hain: Apna koi marta hey tou rotay ho tarap ker Per Sibt-e-Payamber ka kabhi gham nahi kertay Himmat hey tou mehshar mein Payamber se ye kehna Hum zinda-o-javed ka matam nahi kertay Aansu na bahao kay ye zaib hey tum ko Qatil kabhi maqtool ka matam nahi kertay ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Ehsas-e-Karbala tujhay ho jaye ga ek din Tanha kisi azeez ki maiyyat utha ker dekh ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Mar ja Furaat apnay hi paani mein doob ker Piyasa chala gaya hey teray paas se Husain ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Jin kay aangan mein ameeri ka shajar lagta hey Un ka har aib zamanay ko hunar lagta hey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Tu haqeeqaton se hey baykhabar na dekh Ali ko mijaz mein Ye wo shabista raaz hey jo na aaye ga teray dimagh mein Dar-e-Zahra per rakha jo sar tou awaaz aai O baykhabar Teray wo bhi sajday ada huway jo qaza huway thay namaz mein ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Ishq qatil se bhi maqtool se hamdardi bhi Ye bata kis se muhabbat ki jaza maangay ga Sajda Khaliq ko bhi iblees se yaarana bhi Hashr mein kis se aqeedat ka sila maangay ga ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Jannat ki sair ker raha tha kay raat ho gai Subah jab aankh khuli tou sar Maa ki aagosh mein tha ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Hansi aati hey mujhay hazrat-e-insaan per Amal karay khud aur lanat bhejta hey shaytan per ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Tum haya-o-shariyat kay taqazon ki baat kertay ho Hum ne nangay jimson ko malboos-e-haya dekha hey Hum ne dekhay hain ehraam mein liptay kaee iblees Hum ne maykhanay mei kaee bar khuda dekha hey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Teray sajday kaheen tujhay kafir na ker dein Aey Insaan Tu jhukta kaheen aur hey aur sochta kaheen aur ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Shikwa-e-ishq nahi jurrat-e-guftar nahi Meray hathon mein koi jabr ki talwar nahi Ibne Adam hoon insaan se muhabbat ki hey Aag ka chaand ka patthar ka paristar nahi Mein ne maana kay tu Yousuf sa haseen hey lekin Ye mera dil hey koi Misr ka bazaar nahi Aey Khuda mujh ko muhabbat dey ibadat kay aiwaz Mein tou Teri kisi jannat ka khareedar nahi Jis ne insaan se muhabbat hi na ki ho Iqbal Dar-haqeeqat wo Khuda ka bhi talabgar nahi ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Baqa-e-Toheed tha wo Karbala mein aakhri sajda Agar wo takheer kerta tou Khuda tabdeel ho jata ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Dil pak nahi tou pak ho sakta nahi insaan Warna iblees ko bhi aatay thay wuzu kay faraiz bohat ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Kiya huwa jo teray maathay per hain sajdon kay nishan Koi aisa sajda bhi ker jo zameen per nishan chorr jaye ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Kaabah-o-Quraan ko jo dekha hey ghilaf mein liptay Ab mein samjha hoon kay perday ki fazeelat kiya hey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Aa tujh ko bataon mein taqdeer-e-umam kiya hey Shamsheer-o-sina awwal, taoos-o-rubab aakhir ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Teray aamaal se hey tera pareshan hona Warna mushkil nahi mushkil aasaan hona Dona aalam per hukumat ho teri aey musalman Tu samajh jaye agar apna musalman hona ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Mat ker khaak kay putlay per ghuroor-e-bayniazi itni Khud ko khudi mein jhaank ker dekh tujh mein rakha kiya hey ---------------------------------------------------- Allama Iqbal said: Zameer jaag tou jata hey agar zinda ho Kabhi gunah se pehlay kabhi gunah kay baad
Posted on: Sat, 09 Nov 2013 05:37:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015