Assalaam u Alaikum Warhmatullah Wabarkatuh Hiqayat/Wakiya Farooq - TopicsExpress



          

Assalaam u Alaikum Warhmatullah Wabarkatuh Hiqayat/Wakiya Farooq e Aazam ki sahadat (Part-5) Jin din Hazrat Umar ka inteqal hua us din suraj ko grahan laga. Saare madine me andhera hogaya. Iss taraf logo ka rona udher suraj ka syah hona ek qayamat ka manzar sa nazar aata tha.. madine ke bacche apni maa se puchte the : Aye maa! Kya aaj qayamat hai? Maa kehti thi ki nahi aaj Amirul Momineen ka inteqal hua hai. Baad e Vishal Hazrat Abbas Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne aapko khawab me dekha aur pucha Aye Amirul Momineen kya mamla hua? Hazrat Umar ne Farmaya mene apne RAB ko bada Reham wala paya. (Sirtus Saalihin,Safa-94) Sabak : Hazrat Umar Radhi Allahu Ta’ala Anhu ka katai Jannati hone ke bawajud khouf e Ilahi dekhiye ki kis tarah ALLAH ke huzur hazir hone se kouf ka izhar farmate the. Naz’a ka aalam hai. Magar khilaaf e sara baat nahi dekh sakte. Nouzawan ko tahband uncha baandhne ki nasihat farmate hai. Malum hua ki musalman ko baharhal sariat ka paband aur sariat ke khilaf baat se bejar rehna cahiye. ALLAH ke huzur hazir hone se darte rehna cahiye. Yeh bhi malum hua ki Siddiq e Akbar ki tarah Farooq e Aazam bhi bade hi khush kismat the ki unhe bhi HUzur ke saath dafan hone ki jagah mili.
Posted on: Sun, 01 Sep 2013 09:31:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015