Beemari (Bukhaar) Ek Neyamat ♥♥♥ ♥♥♥ Beemari - TopicsExpress



          

Beemari (Bukhaar) Ek Neyamat ♥♥♥ ♥♥♥ Beemari (Bukhaar) Ek Neyamat ♥♥♥ * Bukhaar (Momeen Ko) Gunaho Se Paak Kar Deta Hai !!!!!!! » Hazrat Abu Huraira Radiallahu Taala Anhu Ne Farmaya Ki ‘Rasool-e-Karee m Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ke Pass Bukhar Ka Charcha Kiya Gaya, Toh Ek Shaks Ne Bukhar Ko Bura Kaha. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, » Bukhaar Ko Bura Na Kaho, Iss liye Ki Wo (Momeen Ko) Gunaho Se Iss Tarah Paak Kar Deta Hai, Jaise Aag Lohe Ki Mail Ko Saaf Kar Deta Hai.’ -: (Ibne Maja) » Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wa Sallam Jab Kisi Bimaar Ki Ayaadat Ke Liye Tashrif Le Jaate Toh Farmate, “Koi Dar Nahi Bimaari Gunaahon Se Paak Karne Wali Hai”. -: (Bukhari Sharif) * Gunaho Ko Muaf Karvati Hai Beemari !!!!!!!! » Hazrat Abu Saeed aur Abu Hurera (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem ( Sallallahu Alaihay Wasallam ) Ne Irshad Farmaya Ke, ‘Musalman Ko Jo Bhi Thakan, Beemari, Fikar, Gham Aur Takleef Pohanchti Hai, Hatta Ke Kaanta Bhi Chubtah Hai Toh Iski Waja Se Allah Ta’ala Uske Gunaho Ko Muaf Farma Deta Hai’. -: (Muslim Sharif , Bukhari Sharif) » Hazrat Abdullah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Bayan Karte Hai Ki, Main Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ke Paas Unki Bimari Me Gaya Toh Aap Ko Tez Bukhar Tha. Maine Arz Kiya Huzoor! Apko Tez Bukhar Hai, Iss liye Apko Dohra Sawab Milega?.. Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:’Haa Koi Musalman Aisa Nahi Hai Jo Kisi Pareshani Me Ho Toh Allah Uske Gunaho Ko Aise Door Kar Deta Hai, Jaise Pedh Se Pattay Jharh Jate Hai.” -: (Sahih Bukhari) * Nahi Pahuchti Musalmaan Ko Koi Taklif, Marz !!!!!! » Hazrate Abdullah Ibne Masud Radiallahu Taala Anhu Ne Kaha Ki, Rasool-e-Kareem Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki, ‘Nahi Pahuchti Musalmaan Ko Koi Taklif, Marz Ya Uske Siwa Kuch Aur! Lekin Allah Taala Uss Ke Chote Gunaho Ko Jhaad Deta Hai, Jaise Darkht (Tree) Se Patte Jhaadate Hai.’ -: (Bukhari Sharif, Muslim Sharif)
Posted on: Tue, 19 Nov 2013 10:06:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015