Bismillah irrahman nirrahim Al Quran : Allah Subhanahu ne kharid - TopicsExpress



          

Bismillah irrahman nirrahim Al Quran : Allah Subhanahu ne kharid aur farokht ( trade) ko halal qarar diya hai aur sood (usury) ko haram --------------------------------------- Urdu Translation: Al Quran : Jo log sood khatey hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthengey Jinhey shaitan ne lipat kar deewana bana liya ho ye haalat unki is wajah se hogi ki unhoney kaha tha ki kharid wa farokht bhi sood ki tarah hai jabki Allah subhanahu ne kharid aur farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram phir jisko uskey Rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahle le chuka hai wo usi ka hai aur uska muaamla Allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hai ye ismein hamesha rahanergey: {Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275} Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Sood ke 70 gunaah hain aur sabse halka gunaah aisa hai jaisey mard apni maa se zina karta hai {Sunan ibn Majah, Vol2, 431-Hasan} Hadith: Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne sood khaney waley khilaney waley , iski gawahii deney waley aur isko likhney waley sab par laanat farmayee hai {Sunan ibn Majah, Vol 2, 434- Hasan} ------------------------------------------------ English Translation: Al Quran : Those who devour usury will not stand except as stand one whom the Evil one by his touch Hath driven to madness. That is because they say: "Trade is like usury," but Allah hath permitted trade and forbidden usury. Those who after receiving direction from their Lord, desist, shall be pardoned for the past; their case is for Allah (to judge); but those who repeat (The offence) are companions of the Fire: They will abide therein (for ever). {Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275 } Hadith: It was narrated from Abdullah bin masood radi allahu anhu that the Messenger of Allah cursed the one who consume usuary , the one who pays it, those who witness it and the one who writes it down {Sunan Ibn majah, Vol 3, 2277-Hasan} Hadith : It was narrated from Abu Hurairah radi allahu anhu that the Messenger of Allah said: "There are seventy degrees of usury, the least of which is equivalent to a man having intercourse with his mother. {Sunan Ibn majah, Vol 3, 2274 -Hasan}
Posted on: Sat, 17 Aug 2013 08:09:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015