Dass sharng Atul jis kavita plz read and feel blessed - TopicsExpress



          

Dass sharng Atul jis kavita plz read and feel blessed 3T - Time, Technology aur Tarakki Mere friend ne subah-2 mobile par, Prabhu-Prarthna ka App khola, Aur phir vo apne dono haath jod kar bola- Hey Bhagvun, Mujhe aashirwad do ki meri life ki battery zyada se zyada chale, Aur mera jeevan Sukh aur Samridhi ke Network Coverage mein pale. Ye sunkar maine dost se kaha tareeke se, Ki bhai, kam se kam prarthna toh kar saleeke se. Voh turant bola, Ki aaj ki busy life mein, sab chalta hai, kuch bhi perfect ya fine nahi hai, Shukar karo maine Ishwar ke liye time nikaala, varna kisi ke paas bhi, ittu sa time nahi hai. Iss baat se main sochne par hua majboor, Ki ye aajkal kaisa ho gaya hai dastoor, Ab toh Insaan mein, khuda ke khauf ka bhi sign nahi hai, 21vi sadi mein har koi keh raha hai, ki time nahi hai. Khushi hai par hasne ka time nahi hai, gam hai par rone ka time nahi hai, Apno ko apnane ka time nahi hai, aur rishto ko nibhaane ka time nahi hai. Kisi ko khaane ke liye ek waqt ki Roti prapt nahi hai, Toh Kisi ke paas roti khane ke liye Waqt nahi hai. Maine socha, agar na iske paas hai na uske paas hai, Toh Time gaayab kaha hua, aakhir ye kiske paas hai. Time ko dhondte hue main bahut door nikal aaya, Aur ek ped ke neeche use udaas baitha paaya. Maine kaha-Hey har yug me rehne waale, Tum kalyug me kaha rehte ho, Arre, tum toh duniya mein sabse keemti ho, phir kyu pareshaan baithe ho. Usne apna dukhda rote hue kaha, ki Bhagwaan ne aadmi ko maanav banaya hai, Aur ab vahi maanav tarraki mein vaapas, aadi maanav banne par utar aaya hai. Bas, itna sunte hi maine badi challenging awaaz me kaha, kaisi baat kar rahe hain janaab, Science ne toh soch se bhi zyada taraki ki hai, Arre bhaisaab, kis zamaane mein hain aap. Insaan ne aeroplanes aur jets banaane mein, apna khoob dimaag lagaya hai, Flight pakadkar samundar paar jaana, ab minton mein hi sambhav ho paaya hai. Samay bola, aisa karke usne kaun sa teer hai maar liya, Ye kaam toh Hazaaro saal pehle Hanumaan ji ne bhi tha kiya. Sanjeevni booti laane ke liye akele hi samunder paar kiya tha, Aur unhone,na toh petrol use kiya, aur na hi pollution kiya tha. Mujhe thoda toh hua ehsaas par main ek aur kiya prayaas, aur kaha… Arre ab toh jaana bhi nahi padta, 3G ya Wi-Fi se video calling ho jaati hai, Aur door baithe insaan ki shakl saamne hi nazar aa jaati hai. Samay phir badi saadge se bola, beta, isme tumhe kya naya dikha hai, Yaad karo ye bhi hazaaro saal pehle ghatit ho chuka hai. Mahabharat mein Sanjay ye karishma dikha chuke hain, Dhrishtrast ko yudh ka ankho dekha haal, bina wifi ke hi bata chuke hain. Main hadbadaaya aur josh me ek dialogue batiyaya,ki, Aaj ke bacho ke paas Internet hai, whatsapp hai, email hai, tumhaare puraane samay ke bacho ke paas kya tha..haayin.. Samay ne vinamrata se kaha, unke paas HUMAN VALUES thi. Meri aankhein sharm se reh gayi jhuki ki jhuki, Samay poochta raha ki batao ye kaisi hai tarakki,ki, Pehle logo ke paas sanskar the aaj sirf car hai, pehle charitr the aur ab keval chitr hain? Pehle dharm sthaano pe jaakar log, shradha ke phool the chadhaate, Aur ab unn sthaano ka keval photo kheench kar hain laut aate? Pehle bade bhai ke saath chota Bhai, vanvaas jaane ko tayyaar tha ho jaata, Aur ab apne sage bhai ki tarraki na dekh paane waala bhai, yun awaaz hai lagaata, Ki hey bhagwaan ise apne paas bula lo, Ye upar uthna chahta hai, ise upar hi utha lo. Kaisi ye tarraki hai, jab, Na Wayde ki, Na Kayde ki, insaan baat karta hai sirf apne Fayde ki. Pehle log bhagwan ke dikhaaye raaste par the chalte, Ab sirf raasto ka naam bhagwan ke naam par hain rakhte? Tab Betiyon ki muskaan se hi, samaaj khushhaal tha banta, Ab sadak par jaate hue, Nirbhaya ki cheekh bhi koi nahi sunta? Lagta hai insaan StoneAge yaani PatharYug me vaapas jaa raha hai, kyunki ye seene me Dil nai shayad pathar liye jeevan bita raha hai. Aaj ke halaat ki tumhe kya bataun sachchai, Bahut Kadwa ghoont hai gar pee sake mere bhai…. Few People are dieting, few die eating, Gareeb ki daud pet bharne ki, ameer ki pet kam karne ki, Bache, EarlyBirds nahi hain, par AngryBirds ke fan ho rahe hain, Aur unke bachpan bhi Gadgets mein kahin kho rahe hain. A for Android , B for Bbm samajhne waale bacche kaise samjhenge, ki A for Aastha, B for Bhakti bhi hota hai, Jab dhaarmik pustakon par pad rahi ho dhool, aur Celebrities ka poster kamro mein chamak raha hota hai. Agar aaj ke Mobile yug par kuch likhna hota, Toh Rahim Ji ka doha shayad kuch iss tarah hota...ki DATA data det hai det hai din rain, DATA chhor data par rahe maanas ke nain. Ab Insaan Hari-2 ki bajaaye, Hare-2 noton pe dhyaan laga raha hai, Aur aajkal aadmi EcoFriendly nahi, EgoFriendly hota ja raha hai. Tarraki ke naam par itne phoolon ke baageche nahi banaaye jitne bomb aur missile banaayi hai, Hairani hai ki laashon ko dekhkar bhi visfot karne waale ki aankh mein, sharm nahi, chamak aayi hai. Apne swaarth ki sardi bhagaane ke liye, ye toh padosi ke ghar mein lagi aage se bhi haath sek lega, Aur iska bas chale toh, Maa ki mamta, Pita ke karz, aur apne Zameer ko bhi OLX pe bech dega. Keval, Keval apni TRP badaane ke liye, Human Values ki MRP ghata raha hai, Aur maanaviye mulyon ki ye haalat dekhkar, mujhse aur nahi saha ja raha hai. Kaash samjhe Insaan, ki, Chehre se aadmi ki pehchaan nahi hai, Vo insaan kya jisme kadr-e-insaan nahi hai. Maine Samay se kaha, main jaanta hun ki tum aaj ke haalaat pe sharminda ho, Par main hairaan bhi hun, ki itna dard seene mein liye, abhi tak kaise zinda ho. Meri apeksha ke viprit vo pehli baar halka sa muskuraya aur usne bade sakaraatmak lehze mein mujhe bataaya…ki Abhi keval umeed ki kiran hi nahi, mere yakeen ki Suraj bhi uga hua hai, Kyunki Maanavta ko bachaane ka jimma, Guru Hardev ne liya hua hai. Darasal ye Dharti sirf Gravity yaani Gurutvakarshan par nahi, Guru Ke Aakarshan pe tiki hai, Aur inke aadeshon ka paalan karte waqt hi duniya, sahi disha me jaati dikhi hai. Inke Bhakt Facebook par hon na hon, Murshad ki GraceBook me avashye hote hain, Aur ye sabhi Mann ke daag, SurfExecl se nahi, SirfAsal ke ehsaas se dhote hain. Big Boss mein 10 log, Air Conditioned ghar mein bhi, chand roz ke liye Pyaar se nahi reh paa rahe hain, Aur yahaan Inke laakhon Bhakt, Sardi me Tent ke neeche bhi, sirf Shukar karte hi paaye jaa rahe hain. Inki Bhakti mein, swaarth ki khatir, koi khwaish, farmaish, aajmaish ki gunjaish nahi hoti hai, Kyunki har Vikat samasya mein, Nikat khade Nirankar ki jyoti, inhe Prakat dikhayi deti hai. Satguru, Bhakto ki laaj rakhne ke liye, aaj bhi, har baar pahunchte hain, kabhi nahi kehte ki Time nahi hai, Aur Inke deewane bhi, inke ek isshaare pe daude aate hain, kabhi nahi kehte, ki Guru ke liye Time nahi hai. Maine samay ka ishara samajha, ab aur samay nahi ganvana hoga, Asal tarraki ke liye iss peedi ko, Satguru ki sharan me aana hoga. Aane wale Time ko bachaana hai toh,Guru ke vachan hi apnaane honge, Aur maanav banke rehna hai toh Maanaviye Mulye apnaane honge. Dhan Nirankar Ji Atul Dhawan
Posted on: Fri, 04 Apr 2014 19:20:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015