Ek bar sari feelings ne faisla kia k wo sab chupan chupaikhelen - TopicsExpress



          

Ek bar sari feelings ne faisla kia k wo sab chupan chupaikhelen gi… Dard ne counting start ki aur sari feelings chup gain… Jhoot ek darakht k peeche chup gaya… aur pyar gulab k paudon k peeche… Sab pakre gae siwae pyar k, yeh dekh kr jealousy ne dard ko bata dia k pyar kahan chupa hai… Dard ne pyar ko kheench k nikala to kanton ki waja se pyar ki ankhen kharab ho gayi aur wo andha ho gaya, Yeh dekh kar sab ne dard ko saza sunai k, wo zindagi bhar pyar k sath rahe ga… Bas tab se pyar andha hota hai aur wo jahan b jata hai dard us k sath jata hai…
Posted on: Fri, 28 Jun 2013 10:35:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015