Hadees-e kakul o rukhsar hum bhi rakhty hain, Koi sune to ghm-e - TopicsExpress



          

Hadees-e kakul o rukhsar hum bhi rakhty hain, Koi sune to ghm-e yar hum bhi rakhty hain, Hamen bhi shehr-e nigaran main le chalo yaro, Kisi k ishq ka azaar hum bhi rakhty hain, Ye chaak chaak greban ye dagh dagh jigar, Mata-e hasrat-e didaar hum bhi rakhty hain, Gham-e jahan k taqazy shadeed hain warna, Janun-e koocha-e dildaar hum bhi rakhty hain, Jabeen-e waqat ko hum ne bhi noor bakhsha ha, Saleeka-e nigah-e yar hum bhi rakhty hain, Qadm qadm pe chatakti hain shauq ki kalyan, Saba ki shokhi-e raftar hum bhi rakhty hain, Janun-e shauq hi rahat talb nahin warna, Jalu main saya-e diwaar hum bhi rakhty hain, Zara nigah-e taghaful shuar uthny do, Ik arzu-e fason kaar hum bhi rakhty hain, Ye aur bat k taqdir so gayi QABIL Warna dida-e bedaar hum bhi rakhty hain.
Posted on: Tue, 22 Oct 2013 23:44:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015