Hazoor Pak (SAWW) ne farmaya "Halal khula hua hai aur haram b - TopicsExpress



          

Hazoor Pak (SAWW) ne farmaya "Halal khula hua hai aur haram b khula hua hai. Aur in dono k darmian kuch cheezein shubah (shak) ki hain, jin ko bohat log nai jante (k halal hain ya haram). Phir jo koi shubah ki cheezon se b bach gia, us ne apne deen aur izzat ko bacha lia aur jo koi in shubah ki cheezon main par gia, us ki misaal us charwahe ki hai jo (shahi mehfooz) charagah k aas pass apne janwaron ko churae. Wo qareeb hai k kabi us charagah k andar ghus jaye (aur shahi mujrim qarar paaye) Sun lo har badshah ki aik charagah hoti hai. ALLAH ki charagah US ki zameen par haram cheezein hain. (Pas in se bacho aur) sun lo badan main aik gosht ka tukra hai, jab wo drust ho ga, sara badan drust ho ga, aur jahan bigra sara jism bigar gaya. Sun lo wo tukra aadmi ka dil hai" Sahih Bukhari - 52
Posted on: Thu, 22 Aug 2013 05:26:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015