Hazrate Hassan aur Hazrate Hussain ke Fazaeel Hazrate Abu Hurairah - TopicsExpress



          

Hazrate Hassan aur Hazrate Hussain ke Fazaeel Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu Anhu Bayan karte hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrate Hassan Radiyallahu anhu ke muta’allik farmaya Aye ALLAH! Mein us se muhabbat karta hu, tu us se muhabbat rakh aur jho us se muhabbat rakhe us se tu muhabbat rakh. [Sahih Muslim Sharif, Jild 03, Kitab: 44- Kitab ul fazail e sahaba e kiram, Page 314, Baab 08 – Hazrate hassan aur Hazrate Hussain ke fazaeel, Hadith No. 6206] [ Bukhari Sharif: 2122, 5884 ] [ Ibne Majah: 142 ] Pacha chala Hazrate Hasan ya Ahle bait se dushmani rakhna khuda ke gazab aur RASOOL ki narazgi hai, aise dushman e ahle bait (yazeed paleed) ke naam ke saath Rahmatullahi alaihi lagane wale zakir naik khud dushmanane ahle bait se mil gaya. Kismet apni apni – hadees e paak hai jho jis se muhabbat rakhega kal mehshar me usi ke saath uthaya jayega.
Posted on: Tue, 23 Jul 2013 21:31:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015