Her Zulm tera yaad hai , bhula to naheen hoon Aye wada faramoosh , - TopicsExpress



          

Her Zulm tera yaad hai , bhula to naheen hoon Aye wada faramoosh , main tujhsa to naheen hoon Sahil pay khaRay ho tumhain kya gham , chalay jana Main doob raha hoon , abhi duba to naheen hoon Aye wada faramoosh , main tujhsa to naheen hoon Her Zulm tera yaad hai , bhula to naheen hoon Chup chap sahi maslehatan, waqt kay hathoon Majbor sahi, waqt se hara to naheen hoon Ae wada faramoosh , main tujhsa to naheen hoon Her Zulm tera yaad hai , bhula to naheen hoon Muztar kyon mujhay deekhta rehta hai zamana Deewana sahi, un ka tamasha tu naheen hoon Aye wada faramoosh , main tujhsa to naheen hoon Her Zulm tera yaad hai , bhula to naheen hoon Poet : Aftab Muztar
Posted on: Mon, 07 Oct 2013 07:38:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015