∗ Hiqayat-(Part 11.3) : Ibrahim (Alaihay Salam) » Bismillah - TopicsExpress



          

∗ Hiqayat-(Part 11.3) : Ibrahim (Alaihay Salam) » Bismillah Hir Rahemanir Rahim « Hiqayat Part 11.3Ibrahim (Alaihay Salam) Ka Bibi Haazraa Aur Bete Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Sunsaan Waadi Me Tanha Chorr Jaana Aziz Dosto ,….. Ibrahim (Alaihay Salam) Aur Loot (Alaihay Salam) Siriya (Shaam) Ki Taraf Chale Gaye.Uske Baad Loot (Alaihay Salam) Ek Qaum Sadoom Ki Taraf Bheje Gaye. Aur Allah Ta’ala Ne Do (2) Frishto Ko Bheja Jinhone Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Aulaad Ki Khush Khabri Di, Aur Qoum Loot (Alaihay Salam) Ko Azaab Diya. Aap Log Yahaa Tak Hiqayat (Part 10) Me Padh Chuke Hai. Ab Aage … Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Do (2) Biwiya Thi Jinme Se Paheli Biwi Hazrat Bibi Saayera Thi Aur Dusri Biwi Hazrat Bibi Haazraa. Bibi Haazraa, Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Gulaam (Bandi) Thi. Lekin Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Unse Nikaah Kiyaa Tha. Jaisa Ki Farishto Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Aulaad Ki Khush Khabri Di Thi, To Bibi Saayera Se Ishaaq (Alaihay Salam) Paida Huve Aur Bibi Haazraa Se Ismaayeel (Alaihay Salam) Paida Huve. Ab Kyonki Bibi Saayera Paheli Biwi Thi, Isiliye Unhone Ibrahim (Alaihay Salam) Par Dabaaw Daala Ki, Aap Bibi Haazraa Ko Chorr De. Aur Ye Hi Allah Subhanahu Ta’ala Ki Razaa Thi. Isiliye Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Bibi Haazraa Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Saath Me Liya, Us Waqt Ismaayeel (Alaihay Salam) Sheer Khawaar (Doodh Pite) Bachche The. Un Maa-Beto Ko Ek Sunsaan Waadi Me Le Gaye, Jahaa Aaj Makkah Shareef Aabaad Hai, Uss Waqt Wo Ek Biyaabaan Saheraa Tha, Na Koi Aadam Aur Na Koi Aadam Ki Zaat. Wahaa Pahoonch Kar Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Unhe Ek Khazoor Ke Darakht (Tree) Ke Niche Bithaaya Aur Kuch Khaane Ka Saamaan Aur Ek Maskeeza Paani Ka Diya. Maskeeza Jaanwaro Ke Chamde Se Bani Huyee Ek Taili (Bag) Hota Hai. Aur Wahaa Se Akele Jaane Lage. Bibi Haazraa Unke Piche Doudi Ki, “Hame Is Sunsaan Waadi Me Chorr Kar Kyon Ja Rahe Ho ?” . Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Koi Jawaab Na Diya. Bibi Haazraa Ne Fir Poocha, “Kya Ye Allah Ta’ala Ka Huqm Hai ?” Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Sir Hilakar Khamoshi Me Ishare Me Jawab Diya, “Haan!” Aur Fir Woh Jis Raaste Se Aaye The Usi Raaste Se Waapas Chale Gaye Aur Jaate Jaate Apne Qadmo Ke Nishaan Bhi Mitaate Chale Gaye. Unhe Ye Andesha Tha Kahee Unke Qadmo Ke Nishaan Ka Pichaa Karte Karte Bibi Saayera, Bibi Haazraa Tak Na Pahoonch Jaaye. » Maa Ki Aulad Ke Liye Bekaraari : Ab Bibi Haazraa Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Uss Tapte Huve Ret (Sand) Ke Sehra Me Tanhaa Rah Gaye. Bibi Haazraa Ke Paas Jo Khaana Aur Paani Tha Wo Sab Khatam Ho Gayaa. Paani Na Milne Ki Wajaah Se Unki Chaati Ka Doodh Bhi Suookh Gayaa. Aur Jab Bachche Keliye Bhi Doodh Na Utra Chaati Se To Bachcha Bhi Bhook Ki Wajaah Se Rone Laga. To Bibi Haazraa Ne Bachche Ko Khazoor Ke Jhaad Ki Chaavo Me Lita Diya Aur Saamne Do (2) Pahaadiya Thi Jise Aaj Safaa Marwaah Ke Naam Se Jaana Jaata Hai. Uss Pahaadi Par Chadh Gayee Ki Dekhe Shaayad Koi Kaafilaa Ya Koi Insaan Dikh Jaaye To Kam Se Kam Uss Se Paani To Maang Le Ki Jism Me Paani Jaaye To Bachche Ke Liye Doodh Bane. Aur Bacche Ki Bhook Mite. Jab Woh Ek Pahaadi Par Chadti To Bachcha Aankho Se Oojhal Ho Jaata, Bachche Ki Mohabbat Me Woh Jaldi Se Niche Utar Aati. Lekin Bachche Ko Rota Dekh Jaldi Se Bhaag Kar Dusri Pahaadi Par Chadh Jaati, Ki Shaayad Koi Nazar Aa Jaaye Aur Kuch Madad Mil Jaye. Is Tarhaa Aap Ne Un Dono Pahaadi Ke Saat (7) Chakkar Lagaaye. Kabhi Pahadi Chadti Aur Kabhi Aulaad Ki Mohabbat Me Niche Utar Aaati. Allah Ta’ala Ko Bibi Haazraa Ki Ye Apni Aulaad Ke Liye Mushaqqat (Mehnat) Itni Pasand Aayee Ki, Allah Ta’ala Ne Har Musalmaan Mard Aur Aurat Par Jo Bhi Makkah Shareef Me Haj Ya Umraah Ke Liye Aata Hai Unke Liye Safaa Marwaah Ki In Dono Pahaadiyo Ke Saat (7) Chakkar Lagana Farz Kar Diya Hai, Aur Ye Bhi Haj Aur Umraah Ke Arkaano Me Shaamil Hai … » Aab-e-Zam-Zam Ka Chasma : Jab Bibi Haazraa Un Dono Pahaadiyo Par Doud Kar Chadti Aur Aulad Ki Mohabbat Aur Bekaraari Me Niche Utar Aati. Idhar Bachcha Bhook Se Ro Rahaa Tha Aur Apni Ediyaa Zameen Par Ragad Rahaa Tha. Usi Waqt Rahmat-e-Khuda Wandi Josh Me Aayeee Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Jahaa Apni Ediyaa Ragad Rahe The Uss Jagaah Se Paani Ka Chasmaa Foot Padaa. Jab Bibi Haazraa Ne Paani Dekhaa To Doud Kar Apne Bachche Ke Paas Pahoonchi Aur Uss Paani Ko Jo Bahe Rahaa Tha Rokne Ke Liye Uske Chaaro Taraf Ret Ki Dewaar (Medh) Bana Di Aur Kahete Jaati Thi Zam-Zam (Yaani Ki Ruk Ja Ya Thaher Ja) Isi Liye Uss Paani Ka Naam “Aab-e-Zam-Zam” Padh Gayaa. Yeh Allah Ta’ala Ki Rahemat Thi Jo Usne Apne Bando Par Ki. Ab Bibi Haazraa Ne Paani Piya Aur Apni Pyaas Bujhaayee. Aur Apne Bachche Ko Bhi Doodh Pilaaya. Dosto Aap Log Samajh Hi Sakte Ho Ki Ek Biyaaban Sunsaan Registaan Me Paani Ki Kya Keemat Hoti Hai. Ab Jaise Jaise Logo Ko Wahaa Paani Milne Ki Khabar Huyee Log Uss Jagaah Par Aane Lage Aur Bibi Haazraa Ki Izaazat(Permission) Lekar Uss Paani Ke Chasme Ke Aas Paas Rahne Lage, Aur Is Tarhaa Wahaa Basti Abaad Hone Lagi. Aur Jo Tijaarati Kaafile Ek Mulq Se Dusre Mulq Jaate The Wo Bhi Wahaa Rukne Lage. Is Tarhaa Woh Basti Tijaarat Ka Markaz (Business Center) Ban Gayee. » Bete Ki Qurbani Ka Khwaab : Ibrahim (Alaihay Salam) Waqt-Waqt Par Apne Biwi Aur Bachche Se Milne Aate The. Jab Ismaayeel (Alaihay Salam) Kuch Samajhdaar Huwe To Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Ek Khawaab Dekha Ki Jaise Koi Unse Kahe Rahaa Ho Apni Sabse Keemti Aur Maheboob Cheez Ki Qurbaani Karo. Ye Hi Khawaab Unhe Teen Baar Dikhaayee Diya. Paigambaro Ke Khawaab Ham Aam Insaano Ki Tarhaa Nahi Hote Aur Wo Ek Haqiqat Hote Hai. Ibrahim (Alaihay Salam) Samajh Gaye Ki Allah Subhanahu Ta’ala Unhe Apni Maheboob, Jaan Se Pyaari Cheez Ki Qurbaani Ke Liye Kahe Rahe Hai. Ibrahim (Alaihay Salam) Apne Bete Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Bahut Jiyaada Chaahte The, Woh Hi Unhe Sabse Jiyaada Maheboob The. Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Ismaayeel (Alaihay Salam) Se Kahaa, “Aye Mere Bete Maine Khawaab Dekha Hai Ki Main Apni Sab Se Maheboob Cheez Ki Qurbaani Kar Rahaa Hoon, Tumhaara Is Baare Me Kya Khayaal Hai?” Ismaayeel (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Agar Ye Allah Ta’ala Ka Huqm Hai To Aap Kar Guzariye, Inshah Allah Aap Mujhe Sabr Karne Walo Me Paayege. » Shaitan Ko Saat (7) Kankariya Marne Ki Sunnat : Ab Ibrahim (Alaihay Salam) Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Lekar Uss Basti Se Door Mina Ki Waadi Me Le Gaye. Wahaa Shaitaan Insaan Ke Bhes Me Aaya Aur Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Is Amal Se Rokne Ki Koshish Ki Aur Kahaa, “Tumne To Bas Ek Khawaab Hi Dekha Hai, Kya Tum Uski Wajaah Se Apne Aulaad Ki Qurbaani De Doge!”. Ibrahim (Alaihay Salam) Samajh Gaye Ki Ye Shaitaan Hai Jo Unhe Unke Is Amal Se Rokna Chaahta Hai. Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saat (7) Kankariya (Chote Paththar) Uthaayee Aur Shaitaan Ko Maari. To Shaitaan Gaayeb Ho Gayaa. Fir Dono Baap-Bete Kuch Door Chale To Shaitaan Fir Haazir Huwaa Aur Kahaa, “Tumse Apni Koi Maheboob Cheez Ki Qurbaani Ke Liye Kahaa Gayaa Hai To Apni Aulaad Ko Chodkar Kisi Aur Cheez Ki Qurbaani Kar Do!”. Ibrahim (Alaihay Salam) Fir Saat (7) Kankariya (Chote Paththar ) Uthaayee Aur Shaitaan Ko Maari Woh Fir Gaayeb Ho Gayaa. Ab Fir Dono Baap-Bete Kuch Aur Aage Badhe To Shaitaan Fir Haazir Huwaa Aur Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Fir Rokne Ki Koshish Ki, Is Baar Bhi Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saat (7) Kankariya Uthakar Shaitaan Ko Maari To Shaitaan Fir Gaayeb Ho Gaya. Is Tarhaa Shaitaan Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Teen Baar Roka Aur Teeno Hi Baar Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Use Saat-Saat Kankariya Maari. Allah Ta’ala Ko Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Ye Sunnat (Tarika) Itna Pasand Aaya Ki, Allah Ta’ala Ne Har Musalmaan Mard Aur Aurat Par Ye Farz Kar Diya Ki Jo Bhi Log Haj Kare, Woh Log Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Is Sunnat Ko Zaroor Adaa Kare. Aur Ye Bhi Haj Ke Arkaano Me Se Ek Arkaan Hai. Aur Jis Jis Jagaah Par Shaitaan Haazir Huwaa Tha Uss Jagaah Par Aaj Bhi Cement Ka Pillar (Khambaa) (Ya Zamrooq) Moujood Hai, Aur Jo Bhi Haji Haj Karne Jaate Hai, Woh Wahaa Par Uss Shaitaan Ko Saat-Saat Kankariya Zaroor Maarte Hai. Kyonki Is Amal Ke Bina Qurbaani Nahi Hoti Aur Haj Bhi Qabool Nahi Hota … Insha Allah! Aaage Ka Kissa Agle Part (11.4) Me Bohot Jald..
Posted on: Sun, 29 Sep 2013 05:56:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015