Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Ek aarabi - TopicsExpress



          

Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Ek aarabi Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke pass aaya aur kahney laga ki main kis tarah yaqeen kar lu Ki Aap Allah ke nabee hain , Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki agar main khajur ke is darakht ke khoshey ( tahni or branch) ko bulauu to wo gawahi dega ki main Allah ka Rasool hu , phir Aap Sallallahu-Alaihi- Wasallam ne usey bulaya to wo khosha ( tahni) darakht se tut kar Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ke samney gir gaya , phir Aap Sallallahu- Alaihi-Wasallam ne usey hukm kiya ki wapas chale jao to wapas chala gaya aur wo Aarabi musalman ho gaya Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1560 ( Sahih) Manager... Ssonu ansari...
Posted on: Thu, 26 Sep 2013 16:24:56 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015