JO HO RAHA HAI WO PRALAYE SE BHI JADA BHAYAWAH HAI:- Jab bade-bade - TopicsExpress



          

JO HO RAHA HAI WO PRALAYE SE BHI JADA BHAYAWAH HAI:- Jab bade-bade chatan pani ke tez bahao ke sath chote-chote bachon, buzurgon, striyon, logon par kahar bankar aye honge tab unki cheekhien tak us badh ke shor me kho gayi hongi. Yaad kijiye do saal JAPAN me aye TSUNAMI ko, aur fir sochiye utrakhand me aye pralye ko, jise himalaye ki Tsunami kaha ja raha hai, waise yah sahi nahi hoga kinhi do hadson ki apas me tulna karna, aur tulna ki bhi nahi ja sakti, aur na karni chahiye. Lekin duniya me kisi bhi bade hadsse se hum apni taiyariyon ke liye bahot kuch sikh jarur sakte hain. Japan me hua hadsa bhi bahot bada tha. Hazaron logon ki jaan gayi thi, 3.5 lakh logon ko ek jagah se dusre jagah visthapit karna pada tha. Infrastructure ka nuksan bhi bahot bada tha, jahir hai us hadse se guzre Japan ke log uske dukh abhi tak nahi bhul paye honge. Lekin yah bhi sach hai ki jab Japan ki Tsunami ki bhayawah tasveeron ki yaad humare dimag me taza thi, Tabhi hume ek saal ke andar duniya ko pata chal gaya ki Japan me sab kuch samanya ho gaya. Logon ko bachane se lekar Visthapit karne ka kaam to hua hi, sadkon ka aur infrastructure ko sahi karne ka kaam bhi turant shuru ho gaya. Ab hum utrakhand ke hadse ki or nazar daudayien to hume pata chalega, hadsa guzre hue pure 5 din ho chuke hain, magar lagta hai ab bhi wahan fase log aur wahan ke sthaniye log ab bhi har Roz naye hadson se guzar rahe hain. Rudpryag, Chameli jilon se ane wali har khabar sihran paida kar dene wali ek nayi kahani bayan karti hai, log lashon ke bech me bhuke pyase rah kar, ghas phoos kha kar jinda rahne ki sangharsh kar rahe hain, aur yah kahani humare desh ke vyavastha ke nikame-pan ki bhi pol kholti hain. Beshak yah hadsa kudrat ka ek kahar tha, jo hum insano ke dwara ki gayi galtiyon ke karan aur bhi bhyawah ho gaya, Jab humare desh me angrjon ka shashan tha tab, jabun logon logon ne pahad ko kat kar rasta taiyar kiya tha, tab ve log sath me anjir ke ped aur akhrot ke ped bhi sath me lagate jate the, jo barish ke pani ko thame rakhne me sakcham the, khair ab angrejon ka shashan to raha nahi, to uske bare me baat karna bekar hai. Lekin utrakhand me in 5 dino me is trasadi se nipatne ke liye jis tarah ka karya hona chaiye, wah ab bhi kahin nahi dikh raha, in 5 dino me jitne tirth yatriyon ko bachaya gaya, unse kahin adhik log ab bhi wahan bhuke pyase fase huye hain, aur inke alawa sthaniye log bhi hain, jinki abhi tak koi sudh bhi nahi le raha. Yah jarur hai ki 20 helicoptors ke alwa sena aur ITBP ke jawan din raat logon ko bachane ka kaam kar rahe hain, unke jazbon, aur koshishon me koi nukta chini nahi ki ja sakti, saalm hai un jawano ko unke hausle aur jazbon ke liye, magar kya humari sarkar agar rahat muhaiye karwane me technology ka sahyog pradan kar deti to, un jawano ko madad pahunchane me aur asani nahi hoti...??? Congress adhyakch soniya ji ne ailan kiya hai ki unki party ka har sansad apni ek mahine ki takha utrakhand ke sahoyog ke liye daan karega, Magar mera kahna hai Soniya ji agar apki sarkar DISASTER MANAGEMENT OF UTRAKHAND ke vikash pe pehle dhyan deti to apko ye daan puniya karne ki jarurat nahi padti. Utrakhand me disaster management ke naam par koi taiyari nahi hai, sarkar ne 6 saal pehle jo sanstha banayi thi, uski aaj tak koi baithak hi nahi hui, balance sheet sahi na hone ke karan sarkar ne iske liye paisa dena bhi band kar diya, yah us rajya ka haal hai, jo bhugol(geographicaly) aur paryawaran ki dristhi me kafi samvedan sheel hai. Hume yah to swikar karna hi hoga ki logon ki jansankhya aur samasyaon ko dekhte hue is se kahin jada sansadhan lagane ki jarurat thi. khair filahl jarurat hai logon ko bachane ki aur punar-nirman me madad ki, madad ke liye kai log age bhi aa rahe hain. Central govt. Ke alawa kai state govt. Ne bhi madad ka ailan kiya hai. Jate Jate fir ek bar Japan par laut-te hain, Japan ki Tsunami ke wakt wahan ki Govt. Ke alawa wahan ke private companies ne bahot bade paimane par arthik aur kai tarah ki anya madad ki thi, kya bharat ke industrialist bhi iske liye age ayenge. Jinhe jana tha wo chale gaye, magar jo jinda hain, ghayal hai, unhe bachane me to jaldbaji karni chahiye, kahin aisa na ho ki jinhe bachaya ja sakta hai hum unhe bhi sahayta ki deri ke karan kho dein.
Posted on: Sat, 22 Jun 2013 04:34:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015