∗ Jannati Aurat Ki Pehchaan …. » Hadees : Hadees Paak Me - TopicsExpress



          

∗ Jannati Aurat Ki Pehchaan …. » Hadees : Hadees Paak Me Hain Ki Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ki, “Tumeh Jannati Aurat Ke Baare Me Na Bataoun?” Toh Sahaba Ne Arz Kiya, Aye ALLAH Ke Rasool Zaroor Batayen! Toh Nabi-A-Karim ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Har Wo Aurat Jo Shoher Se Bahot Mohabbat Karne Wali, Zyada Bacche Jan’ne (Paida Karne) Waali, Jab Uska Shoher Naraaz Ho Toh Wo Apne Shohar Ke Hath Me Hath Deker Kahe Ki Uss Waqt Tak Iss Jagah Se Nahi Hilungi Jabtak Ki Aap Mujhse Raazi Nahi Hojayege! Toh Jitni Bhi Nabi-e-Karim ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Nishaniyan Batayin Ki, Jannati Aurat Wo Hoti Hain Ki Jo Shoher Se Be-Panaah Mohabbat Karne Wali Ho, Aulaad Wali Ho Aur Agar Kabhi Uska Shoher Kisi Baat Per Naraaz Ho Toh Wo Apne Shoher Ke Hath Me Apna Hath Deker Kahe Main Tumahri Hoon Aur Yahan Se Nahi Hatungi Jabtak Ki Aap Mujhse Raazi Nahi Hojayege, Iss Tarah Manalen! Yeh Manane Ka Amal Allah Ta’ala Ko Itna Pasand Hain Ki ALLAH Ke Rasool ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Jannati Aurat Ki Pehchaan Batayi Aur Aajkal Ki Kayi Biwiyan Aisi Baat Karti Hain Ki Jaan-Bujker Khawindh(Shohar) Ko Sataati Hain, Uska Dil Dukhati Hain! Un Auraton Ko Jannat Ki Hawa Bhi Nahi Lagegi! - (Sukoon-A-Khana, Pg-130-31)
Posted on: Mon, 23 Sep 2013 06:54:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015