Kaabay Pe Pari Jab Pehli Nazar... (When I cast my first glance on - TopicsExpress



          

Kaabay Pe Pari Jab Pehli Nazar... (When I cast my first glance on the Kaaba...) Kaabay peh pari jab pehli nazar kiya cheez hai duniya bhool gayi Yoon hosh-o-khirad maflooj huay dil zauq-e-tamaasha bhool gayi When I cast my first glance on the Kaaba What is this world, I remembered no more My thinking, my senses, were struck with awe My heart missed a beat, remembered no more Jiss waqt dua ko haath uthay yaad aa na saka jo socha tha Izhaar-e-aqeedat ki dhun mein Izhaar-e-tamanna bhool gayi When I raised my hands to ask What I was seeking, I remembered no more So busy I was in expressing my devotion Expressing my needs, I remembered no more Pohnchi jo Haram ki chaukhat per ik abr-e-karam nay ghair liya Baqi na raha yeh hosh mujhay kiya maang liya, kiya bhool gayi When I reached the threshold of of the Haram A shower of mercy surrounded me After that what I asked for and what I forgot Its hard to say, I remembered no more Her waqt barasti hai rehmat Kaabay mein Jameel, Allah Allah Khaati hoon mein kitni bhool gayi Aasi hoon mein kitni bhool gayi Mercy is pouring every moment On the Kaaba, Allah Allah How much I err, I remembered no more How big Im a sinner, I remembered no more
Posted on: Fri, 12 Sep 2014 14:52:44 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015