∗ Khaliq Aur Makhlooq Ke Bich Koi Parda Nahi ….. » Hadees : - TopicsExpress



          

∗ Khaliq Aur Makhlooq Ke Bich Koi Parda Nahi ….. » Hadees : Hazrat Muaaz (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Farmate Hain Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mujhe (Haakim Bana Kar) Bheja Toh Yeh Farmaya, “Tum Ahle-Kitab Ke Paas Ja Rahe Ho Unhen Iss Baat Ki Gawaahi Ki Taraf Bulana Ke Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Beshaq Mai (Sallallahu Alaihay Wasallam) Allah Ta’ala Ka Rasool Hon, Agar Wo Ye Baat Jaane Toh Unhen Batana Ke Beshaq Allah Ta’ala Ne Un Par Din Aur Raat Me 5 Namaze Farz Ki Hain, Agar Ye Baat Maan Len Toh Unhen Batana Ke Allah Ta’ala Ne Un Par Zakaat Farz Ki Hai Jo Un Ke Maldaaron Se Le Kar Faqeeron Me Taqseem Kar Di Jaye, Agar Wo Ye Baat Bhi Maan Le Toh Un Ke Umda Maalon Se Parhez Karna Aur Mazloom Ki Bad’Dua Se Bachna Kyun Ke Us Ke Aur Allah Ta’ala Ke Darmiyaan Koi Parda Nahi”. - (Bukhari Wa Muslim Ba Hawala Riyaazus Saleheen
Posted on: Thu, 18 Jul 2013 05:04:46 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015