∗ La Ilmi (Be-Ilm) Ka Elaaj Sawaal Karna Hai ….. » Hadees : - TopicsExpress



          

∗ La Ilmi (Be-Ilm) Ka Elaaj Sawaal Karna Hai ….. » Hadees : Hazrat Jaabir (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai, Unhone Farmaya, “Hum Log Safar (Journey) Me The Ek Sahabi Ko Patthar Laga Jis Se Unke Sar (Head) Me Zakhm Aa Gaya, Uske Baad Unhe Neend Me Nahane Ki Haajat Ho Gayi, Unhone Apne Hamsafar Sahaba-e-Kiraam (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Mas’ala Poocha Aur Kaha, “Kya Aapke Ilm Ke Mutabik Mere Liye Tayammum Karna Jayez Hai?” Unhone Kaha, “Hamaare Khayal Me Toh Aapko Yah Izaazat Haasil Nahi”, Kyonki Paani Maujood Hai, Chunanche Unhone Ghusl Kiya, Jiske Nateeje Me Wah Mar Gaye, Jab Ham Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Pahunche Toh Yah Waqiya Bhi Arz Kiya, Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Unhone Use Qatl Kar Diya, Allah Unhe Qatl Kare! Agar Unhe Maloom Nahi Tha Toh Unhone (Kisi Saahib-e-Ilm Se) Pooch Kyun Na Liya? Kyonki La Ilmi Ka Ilaaj Sawaal Karna Hai”. - (Sunan Abu Dawood, Kitabut Taharah, Baab Majrooh Tayammum, Hadees 336) » Sabab : Jis Baat Ka Hame Ilm Nahi Uss Par Be-Buniyad Salaah Dene Se Bacha Kare, Mumkin Hai Ke Be-Ilm Se Dee Gayi Nasihat-Wa-Salaah Bina Tabdish Kiye Amal Karne Wale Ko Halaaq Hi Karde. Lihaza Behtar Hai Ke Kisi Sahib-e-Ilm Se Salaah Mahswara Kar Sahi Ilm Hasil Kare Aur Jaruratmando Ki Hajat Rawai Kare..
Posted on: Sat, 16 Nov 2013 06:17:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015