Lets welcome our brother Mohammed Sulaiman from Hinduism to - TopicsExpress



          

Lets welcome our brother Mohammed Sulaiman from Hinduism to Christianity and at the end to Islam-Ex Name: Rammohanreddy-Born in Hindu Family-Dil ko sukun nahi mila, Haq ki talash jari rakhi-Phir Chirstianity mein convert huye, iske bawajud bhi sukuna nahi mila , haq ki talash jari rakhi-iske baad Islam mein dakhil huye aur Alhamdulillah fully satisfied hain- Ye hai hamara islam jo logo ko andhere se roshni ki taraf lata haiProfilehttps://facebook/rammohan.rammohanreddy1Al Quran : Beshak Aasmano aur Zameen ke paida karne mein aur Raat aur din ke badalne mein aur Jahazon mein jo dariya mein logon ko fayda pahuchaney wali cheezain lekar chalte hain aur us pani mein jisey Allah ne aasman se nazil kiya hai phir us sey murda zameen ko zinda karta hai aur usmein har qism ke chalney waley jaanwar failata hai aur hawaon ke badlaney mein aurbadal mein jo aasman aur zameen ke darmiyan hukm ka tabey hai Albatta (in sabhi mein ) Aqal Walon ke liye nishaniyan haiAl Quran , Surah AL-Baqara (2), Verse 164Al Quran : Aur be-Ilm log kahte hain ki ALLAH humse Kalam kyu nahi karta ya hamare pass koi nishani kyu nahi aati. Unse pahle bhi log aisee hi baatein kah chuke hainunke dil ek jaise hain , yaqeen karne walo ke liye to hum nishaniyan bayan kar chuke hainSurah Al-Baqarah (2) , 118Al Quran : Kya un logon ne parindo ko nahi dekha ki Aasman ki hawa mein thamey (ghirey) huye hain unhey Allah ke siwa kaun thaamey huye hai, beshak ismein bhi Imaan walon ke liye badi nishaniyan hainSurah An-Nahl (16) Verse 79Al Quran : Allah hi Raat aur Din ko badalta hai beshaq ismein Aankho walon ke liye ibrat( Sabaq aur Nishani) haiSurah An-Noor (24), Verse 44Al Quran: Aur raat aur din aur suraj aur chand uski nishaniyo mein se hain tum log na to suraj ko sajda karo aur na chand ko bulki ALLAH hi ko sajda karo jis ne in cheezo ko paida kiya hai , agar tumko uski ibadat manzur haiSurah Fussilat (41), verse 37Al Quran : Beshak jo log kafir huye aur kufr kihalat mein mar gaye to kisi se bhi zameen bhar kar sona bhi qubul nahi kiya jayega , chahey wo itna sara (azab se bachne ke) badle mein de, in logo ke liye dardnak azab hai aur inka koi madadgar nahi hogaAl Quran, Surah Aal-e-Imran (3) #91
Posted on: Thu, 17 Jul 2014 16:14:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015