{ Qayamat k Din kya Honge}--------------------------------{ - TopicsExpress



          

{ Qayamat k Din kya Honge}--------------------------------{ Aasman, Suraj, Chaand, Sitare, Zameen, Pahad, Samandar}--------{ Aasman }—• Pus jab Aasman phat kar surkh chamde ki tarah ho jayega.{Surah:Al-Rahman,Aa yat:37}• Aur Aasman phat jayega aur us kibandish dhili pad jayegi.{Surah:Al-Haqqah, aayat:16}• Us din aasman misl tail ki tilchat k ho jayega.{Surah:Al-Ma’arij, aayat:8}• Us din Aasman thar tharane lagega.{Surah:Toor, aayat:9}--{ Suraj, Chaand, Sitare }--• Suraj be noor ho jayega.• (Qayamat k roz) suraj lapait diya jayega.{Surah:Al-Takwirr, Aayat:1}• Aur chaand be noor hojayega.{Surah:Al-Qiyamah , aayat no:8}• Suraj aur chaand ikhatte kardiye jayenge.{surah:Al-Qiyamah, aayat:9}• Pus jab sitare be noor kardiye jayenge.{Surah:Al-Mursalat , aayat:8}• Aur jab sitare be noor ho jayenge.{Surah:Takwir, aayat:2}• Aur jab sitare bikhar jayenge.{Surah:Al-Infitar, aayat:2}--{ Zameen }—• Jab zameen zalzale k sath hila di jayegi.{Surah:Al-Waqiah, aayat:4}• Zameen Allah tala k dar se kanpne lage gi.• Us roz zameen aur pahad kanpnelagenge aur pahad rait k zarre ban kar bikhar jayenge.{Surah: Al-Muzzammil, aayat:14} • Jab zameen buri tarah hila dali jayegi aur woapne sare bojh (murde aur digar ashya) bahar nikal phenke gi.(Surah:Al-Zalzalah, aayat:1-2)• Jab soor phunka jayega to zameen aur pahado ko aik hi chot se reza reza kardiya jayega.{Surah: Al-Haqqah, aayat:13-14}• Aur jab zameen (kheench) kar phailadi jayegi.{Surah: Al-Inshiqaq, aayat:3}• Allah Tala zameen ko bilkul hamwaar saaf maidan kar k chhodega jis me tu na kahi mod tod daikhe ga na oonch neech.{Surah:Taha, aayat:106-107}• Us zameen k oopher jo kuch (nabatat) hai use ham saaf kar k hamwar maidan banadenge.{Surah:Al-Kahf,aayat:8}--{ Pahad, Samandar }--• Aur aap pahadon ko daikh kar apni jagah jame huwe khayal karte hai lekin wo bhi badalki tarah udhte phirenge ye hai san’at Allah kijis ne har cheez ko mazboot banaya hai jo kuchtum karte ho us se wo ba khabar hai.{Surah:Naml, aayat:88}• Aur pahad chalaye jayenge yahan tak k wo rait k zarrat ban jayenge.{Surah:Al-Naba,aayat:20}• Log tum se pahadon ki nisbat sawal karte hain? To aap keh de k inhen mera Rab reza reza kar k uda dega.{Surah:Taha, aayat:105}• Aur pahad bilkul reza reza kardiye jayenge phir wo misl bikhra huwa gubaar ban kar rah jayenge.{Surah:Al-waqiah, aayat:5-6}• Aur pahad dhune huwe rangeen uoon ki tarah ho jayenge.{Surah:Al-Qariah, aayat:4}• Aur jab samandar bhad ka diye jayenge.{Surah:Al-Takwir, aayat:6}• Aur jab samandar beh niklenge.{Surah:Al-Infitar , aayat:3}
Posted on: Sat, 14 Sep 2013 17:31:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015