Salaam us par ke jisne bekaso ki dastigiri ki Salaams be upon he - TopicsExpress



          

Salaam us par ke jisne bekaso ki dastigiri ki Salaams be upon he who aided the helpless Salaam us par ke jisne baadshahi mein fakeeri ki Salaams be upon he who in his royal reign lived in poverty Salaam us par ke asraare mohabbat jisne samjhaaye Salaams be upon he who explained the secrets of love Salaam us par ke jisne zakhm kha kar phool barsaye Salaams be upon he who after being wounded, showered flowers Salaam us par ke jisne bhooke pyaaso ko qabaaya di Salaams be upon he who gave the hungry and thirsty ? Salaam us par ke jisne gaaliyaan sun ke duayen di Salaams be upon he who after listening to abuse, made dua for them Salaam us par ke jiska zikr hai saare wazaaif mein Salaams be upon he who is mentioned in all the wazaaif Salaam us par jo majrooh huwa bazaar-e-taif mein Salaams be upon he who was wounded in the markets of Taif Salaam us par ke jiske sakht ghar ke jung karte the Salaams be upon he whose obdurate family members waged war (against him) Salaam us par watan ke log jisko tang karte the Salaams be upon he whose fellow countrymen harassed him Salaam us par ke jiske ghar mein chandi thi na sona tha Salaams be upon he whose home did not possess silver nor gold Salaam us par ke toota borya jiska bichona tha Salaams be upon he whose broken mat (made of palm leaves) was his bed Salaam us par jo sachaayi ke khatir dukh uthata tha Salaams be upon he who for the truth suffered difficulties Salaam us par jo bhuka reh kar auro ko khilata tha Salaams be upon he who would remain hungry and feed others Salaam us par jo ummat ke liye raaton ko rota tha Salaams be upon he who for his ummat would cry at night Salaam us par ke jiski saadhigi dar se baseerat hain Salaams be upon he from whose simple abode there is clear- sightedness/understanding
Posted on: Sat, 03 Jan 2015 20:39:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015