Taaron ne abhi aankh na kholi thi ke Ali tha, Na aman ka paigaam - TopicsExpress



          

Taaron ne abhi aankh na kholi thi ke Ali tha, Na aman ka paigaam Na holi thi ke Ali tha, Daata tha na Duaaen thi na jholi thi ke Ali tha, Khaliq ki zuban kun bhi na boli thi ke Ali tha, Nooh the na abhi unka safina tha ke Ali tha, Yasrab tha na makka na madina tha ke Ali tha, Abid tha na ibadat ka kareena tha ke Ali tha, Duniya thi na maut na jeena tha ke Ali tha, Na lauh ho qalam the na moalaa tha ke Ali tha, Malkut, mahel the na mohalla tha ke Ali tha, Waheed usi ki zaat ka tajallah tha ke Ali tha, Us waqt bhi Ali the sun e munkir-e-ali, Jab sirf Allah tha Mohammed the aur Ali tha. Shah Shams Tabrez
Posted on: Wed, 11 Sep 2013 09:50:35 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015