Tark e taulaqaat pe, Roya na tu na mein, Lakin ye kya ke chain se - TopicsExpress



          

Tark e taulaqaat pe, Roya na tu na mein, Lakin ye kya ke chain se soya na tu, na main Wo humsafar tha magar us say humnawayi na thi ke dhoop chaon ka alam raha,judai na thi Kuch iss adaa se aj wo pehlu nasheen rahy, Jab tak hamary pas rahy , hum nahi rahy Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha Shikasta dil thay musafir shikasta payi na thi Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafayi na thi Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal Ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunayi na thi Kabhi ye haal ke dono main yak dili thi bohat Kabhi ye marhala jaisay ke aashnayi na thi
Posted on: Mon, 30 Sep 2013 08:11:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015