Tasveer-e-Dard The Portrait Of Anguish Nahin - TopicsExpress



          

Tasveer-e-Dard The Portrait Of Anguish Nahin Minnatkash-e-Taab-e- Shaneedan Dastan Meri Khamoshi Guftugu Hai, Be- Zubani Hai Zuban Meri My story is not indebted to the patience of being heard My silence is my talk, my speechlessness is my speech Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein Yahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri Why does this custom of silencing exist in your assembly? My tongue is tantalized to talk in this assembly Uthaye Kuch Waraq Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul Ne Chaman Mein Har Taraf Bikhri Huwi Hai Dastan Meri Some leaves were picked up by the tulip, some by the narcissus, some by the rose My story is scattered around everywhere in the garden Urha Li Qumriyon Ne, Tootiyon Ne, Andleebon Ne Chaman Walon Ne Mil Kar Loot Li Tarz-e-Faghan Meri The turtle‐doves, parrots, and nightingales pilfered away The garden’s denizens jointly robbed away my plaintive way Tapak Ae Shama Ansu Ban Ke Parwane Ki Ankhon Se Sarapa Darun Hun, Hasrat Bhari Hai Dastan Meri O Candle! Drip like tears from the eye of the moth Head to foot pathos I am, full of longing is my story Elahi ! Phir Maza Kiya Hai Yahan Dunya Mein Rehne Ka Hayat-e-Javidan Meri! Na Marg- e-Naghaan Meri ! O God! What is the pleasure of living so in this world? Neither the eternal life, nor the sudden death is mine Mera Rona Nahi, Rona Hai Ye Sare Gulistan Ka Woh Gul Hon Main, Khazan Har Gul Ki Hai Goya Khazan Meri This is not only my wailing, but is that of the entire garden I am a rose, to me every rose’ autumn is my autumn “Dareen Hasrat Sra Umarist Afsoon-e-Jaras Daram Za-Faiz-e-Dil Tapeedan Ha Kharosh-e-Be Nafas Daram” “In this grief‐stricken land, in life‐long spell of the caravan’s bell I am From the palpitating heart’s bounties the silent clamor I have“ Riyadh-e-Dehr Mein Na-Ashnaye Bazm-e-Ishrat Hon Khushi Roti Hai Jis Ko, Main Woh Mehroom-e-Mussarat Hun In the world’s garden unaware of pleasant company I am Whom happiness still mourns, that hapless person I am Meri Bigri Huwi Taqdeer Ko Roti Hai Goyai Main Harf-e-Zair-e-Lab, Sharminda’ay Gosh-e-Sama’at Hun Speech itself sheds tears at my ill luck Silent word, longing for an eager ear I am Preshan Hun Main Musht-e- Khaak, Lekin Kuch Nahin Khulta Sikandar Hun Ke Aaeena Hun Ya Gard-e-Kadoorat Hun I am a mere handful of scattered dust but I do not know Whether Alexander or a mirror or just dust and scum I am Ye Sub Kuch Hai Magar Hasti Meri Maqsad Hai Qudrat Ka Sarapa Noor Ho Jis Ki Haqiqat, Main Woh Zulmat Hun Despite all this my existence is the Divine Purpose Embodiment of light is whose reality, that darkness I am Khazeena Hun, Chupaya Mujh Ko Musht-e-Khak-e-Sehra Ne Kisi Ko Kya Khabar Hai Main Kahan Hun Kis Ki Doulat Hun! I am a treasure, concealed in the wilderness dust No one knows where I am, or whose wealth I am? Nazar Meri Nahin Mamnoon-e- Sair-e-Arsa-e-Hasti Main Woh Chotti Si Dunya Hon Ke Ap Apni Walayat Hon My insight is not obligated to the stroll of existence That small world I am whose sovereign myself I am Na Sehba Hun Na Saqi Hon, Na Masti Hon Na Pemana Main Iss Mai Khana-e-Hasti Mein Har Shay Ki Haqiqat Hun Neither wine, nor cup‐bearer, nor ecstasy, nor goblet I am But the truth of everything in the existence’ tavern I am Mujhe Raaz-e-Do Alam Dil Ka Aaeena Dikhata Hai Wohi Kehta Hun Jo Kuch Samne Aankhon Ke Ata Hai My heart’s mirror shows me both world’s secrets I relate exactly what I witness before my eyes Atta Aesa Byan Mujh Ko Huwa Rangeen Byabanon Mein Ke Baam-e-Arsh Ke Taa’ir Hain Mere Hum Zubanon Mein I am bestowed with such speech among the elegant speakers That the birds of the ‘Arsh’s roof are concordant with me Asar Ye Bhi Hai Ek Mere Junoon- e-Fitna Saman Ka Mera Aeena’ay Dil Hai Qaza Ke Raaz Danon Mein This also is an effect of my tumultuous love That my heart’s mirrors are Destiny’s confidante Rulata Hai Tera Nazara Ae Hinduston! Mujh Ko Ke Ibrat Khaiz Hai Tera Fasana Sub Fasanon Mein Your spectacle makes me shed tears, O India! Your tales are admonitory among all the tales Diya Rona Mujhe Aesa Ke Sub Kuch De Diya Goya Likha Kalk-e-Azal Ne Mujh Ko Tere Noha Khawanon Mein Conferring the wailing on me is like conferring everything Since eternity Destiny’s pen has put me where all your mourners are Nishan-e-Barg-e-Gul Tak Bhi Na Chorh Iss Bagh Mein Gul-Cheen ! Teri Qismat Se Razm Arayan Hain Baghbanon Mein O gardener do not leave even the rose‐petals’ trace in this garden! By your misfortune war preparations are afoot among the gardeners Chupa Kar Asteen Mein Bijliyan Rakhi Hain Gardoon Ne Anadil Bagh Ke Ghafil Na Baithen Ashiyon Mein The sky has kept thunderbolts concealed up its sleeve Garden’s nightingales should not slumber in their nests Sun Ae Ghafil Sada Meri, Ye Aesi Cheez Hai Jis Ko Wazifa Jaan Kar Perhte Hain Taair Bostanon Mein Listen to my call, O imprudent one! This is something which The birds in gardens are reciting like the daily prayers Watan Ki Fikar Kar Nadan! Musibat Ane Wali Hai Teri Barbadiyon Ke Mashware Hain Asmanon Mein Think of the homeland, O ignorant one! Hard times are coming Conspiracies for your destruction are afoot in the heavens Zara Dekh Uss Ko Jo Kuch Ho Raha Hai, Hone Wala Hai Dhara Kya Hai Bhala Ehd-e- Kuhan Ki Dastnon Mein Pay attention to what is happening and what is going to happen What good there is in repeating the tales of the old glories?
Posted on: Mon, 15 Jul 2013 20:26:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015