****Uljhan**** ~~~~~~~~~~~~ Bari uljhane - TopicsExpress



          

****Uljhan**** ~~~~~~~~~~~~ Bari uljhane hai is jeevan mei, Sulajh ne ka naam hi nehi leta, Kaash meri zindegi yun, ek aam zindegi na hota. Meri Zindegi, ek aisi uljhan ban gaya, Suljhate suljhate khud hi Ek uljhan ban gaya. Kaise suljhaun is uljhan ko? Yeh sulajh ne ka naam hi nehi leta. Kaash meri zindegi, Ek aam zindegi na hota..! Ek pal jo hua yeh khwab mujhe, Ke uljhan yeh sulajh ne laga, Agle hi pal mera khwab, tutke bikher ne laga.. choor choor ho gaya sapna.. door ho gaya log jo tha aapna.. Kaise sametu inko in do baaho mei? Aakhir bahe bhi to thakne lage..! Uljhe hue zindegi ki raaho mei, Roshni bhi kaam na aaye, kitna bhi koshish karlu, Haatho mein diye jalaye. Karke buland honsley, Tutke hum suljhate rahe.. Par Inko suljha na saka.. inko sulja na saka..! Akhir sulajhte bhi to kaise..! samajne wale samjhe hi nehi..! Murke dekha to apna koi tha v nehi.. Bas aapna aapna matlab mei sab, Khare the haath barhaye, chahre pe naqaab pehne, Lakho tamashe dikhaye.. Dosti ke waade kar ke bhi, Dost saath nibhaye nehi.. Aur kehte hai.. hum jaise dost kabhi paoge nehi. Akhir Sach hi to the wo log.. Aisi dosti toh.. Dushman bhi karta nehi.. Aapna matlab se dur kisiko Sochne ko tha fursat nehi.. Aur hum dosti ke aage kuch Soach paye nahi.. Matlabi is Dunia mei kisi ka koi nehi.. Aapni matlab se bari koi aur chez nehi. Aab to guzaris karta hoon ke, Na kar zinedi aisi mazak humse, Mazaak bhi aab taane lagne lage.. Kahi teri in mazako mein hum, khudko hi mazak na bana baithe.. Kash Ek din yeh uljhan sulajh jaye.. Aapne firse ek ho jaye.. Aisi karishma kuch ho jaye.. Yeh aam zindegi bhi, Anmol ban jaye. sumit sanyal.
Posted on: Wed, 06 Nov 2013 15:32:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015