• Yad reakhiye allah k hukam k siwa koi pata b nahi hila sakta - TopicsExpress



          

• Yad reakhiye allah k hukam k siwa koi pata b nahi hila sakta aor haqiqi mani main mushkil kusha allah hi hai mgr us ki atta say us k banday b mushkil kushayi krtay hain. Aik hoti hai haqiqi aor quli shan aor aik hoti hai attayi aor mjazi. Dunia main jo b hota hai wo haqiqi mani main allah krta hai mgr bhot saray kam attayi aor juzvi lhaz say uski makhlooq ki tarf bi mansoob hotay hain. Main is ki kuch misalain deta hoo. Pehlay rozmra zindagi sai, phir hadis say aor akhir main mohar lganay k liye quran ka sahara loo ga. Phir ap btana k mushkil kusha allah k banday ho saktay hain k nai. • Hmari zindagi • Ham apni zindagi main bhot saray kam jo haqiqi mani main allah nay kiye hotay hain wo us ki makhlooq ki tarf mansoob krtay hain msalan • Hifazat krnay wali zat allah ki hai lakin ham nay masjid k bahir jo gun man khra kia hota hai ham usay bi “mahafiz” kehtay hain. • Dunia ka har kam allah k hukam say chalta mgr jo shskhs driving seat par betha hota hai ham usay driver (gari chlanay wala) kehtay hain. • Aik chhotay bachay k maa bap mar jatay hain, phir us ko us ka chacha palta hai. Haqiqi mani main palnay wali zat sirf allah ki hai mgr juzvi aor attayi lhaz say ham kehtay hain k bachay k chaha nay isay pala hai. • Hiqiqi mani main marna allah hi ki shan hai mgr aik admi kisi kl goli mar deta hai to ham sab usay hi marnay wala kehtay hain, aor usay saza bi hoti hai k tu nay flanay admi ko mar dia. 5. Kisi musalman ka bacha opration theather main para hai aor doctors nay 20 hazar rupay mangay hian, ap ko pta chalta hai ap sawab kmanay k liye us gareeb ko 20 hazar detay hain k apnay betay ka ilaj karwao to ye haqiqi mani main to allah nay madad ki mgr attayi aor juzvi mani main ap nay us ki madad ki aor uski mushkil hal ki. To aisa kehna k allah k ilawa koi mushkil kusha nahi ye quran aor haids k mafhoom ka jahil hona to hai hi is k sath sath apnay mamulat say be la ilm hona hai. • Hadis • Sarkar alaihe salam nay farmaya: jis jis ka main mola us us ka ali mola. Haqiqi mola (madadgar) sirf allah hi ki shan hai mgr us k banday bi us ki atta say mola hain. • Hadis hai k jis nay kisi musalman bhai ki mushkil door ki allah uski mushkil hal kray ga aor jis nay ki musalman ki hajat poori ki to allah qiamat k din us ki hajat poori kray ga. Ab btaiye k allah k banday b mushkil hal krtay hain ka nai? • Hadis hai k “jis ka koi mola (madadgar) nai us mola allah aor uska rasool hain” ab btayiey k allah b mola uska rasool b mola kaya shirk huwa? Nahi. Kiun k allah zati aor hiqiqi mola hai, jab k rasool allah ki atta say juzvi mola hain • Quran • Quran main allah ki shan hai “raheem” aor usi quran main raheem nabi ki b shan hai. Kaya shirk huwa? • Quran main allah ki shan hai “kareem” aor usi quran main kareem nabi ki b shan hai. Kaya shirk huwa? • . Quran main allah ki shan hai “mola” aor usi quran main mola jibraeel, momineen aor firshtoo ki b shan hai. Kaya shirk huwa? • Quran main rauf ur raheem allah b aor hmaray rasool b. • Quran main ghani allah ki shan aor quran hi main sarkar alaihe salam ko b allah nay ghani kaha, aor ham hazrat usman ko bi usman e ghani kehtay hain. Boliye shirk huwa k nahi? • Quran main momin allah b uskay banday bi. • Quran main wali allah b uskay banday bi • Quran main hafeez (hifazat wala) allah bi us kay banday bi. • Allah fermata hai “ham nay utara hai ye zikr (quran) aor ham hi is k hafiz hain allah kahay k ham hi hafiz hain aor ap kaho k mera beta b hafiz hai to shrik kiun nahi? • Quran main allah apnay baray main fermata hain “anta molana” aor aik aor jaga hai k “huwa molana” mgr ap apnay molviun ko b molana kaho to shirk kiun nahi? • Ye quran k name hain jo allah k liye haqiqi mani main aor uskay bandoo k liye attayi aor mjazi mani main bolay gaye hain. • Ab hafiz aor molana quran ki gawahi hai k allah kehta hai k main hi hoo lakin ap log wo apnay liye istamal kr saktay ho mgr mushkil kusha, hajat rawa, data, gareeb nawaz wgair jo qurani kaya arabi k lafz b nahi wo agr allah k unchi shan walay bandoo k liye bolay jain to ap ko shirk nazar atta. Yahan b isi mafhoom ko samjna ho ga k haqiqi mani main allah hai aor us ki atta say us k bandy b mushkil hal krtay hain. • Han 2 shanain aisi hain jo attayi aor juzvi lhaz say bi kisi ko nahi mil sakti hain aor wo sirf aor sirf allah k hi liye hain • Musthaq e ibadat. Allah k ilawa koi bi ibadat k laeiq nahi na juzvi no haqiqi. Agr koi kisi aor ko b ibadat k laieq manay to wo yaqinan mushrik hai. • Wajib ul wujood hona (azal say abad tak zat, mot zawal say pak zat). Ye shan b allah hi ki hai. Allah hi nay sab ko paida kia aor allah k siwa har aik ko mot hai. Allah k siwa agr kisi aor ko b wajib ul wujood mana to ye shirk hai. • Na koi allah ki zat main shareek hai aor na uski sifat. Agr allah k ilawa kisi aor ko bi allah mana jaye to ye zat main shirk hain. Aisay hi agr jis tarha say allah ki shanain zati aor quli mani kisi aor ki bi zati aor quli mani to ye sifat main shirk hain. Jahil say jahil sunni ko b pta hai k haqiqi madadgar allah hi hai aor uski atta say us k frishtay aour uskay banday be madadgar hain. • Allah ko kisi wastay ki hajat nahi wo chahay to khud madad kr day chahay to apnay frishtay ya apnay bandoo k waseela say madad kr day. Agr allah k kisi banday nay mushkil hal kr di to ye bi haqiqat main allah hi ka mushkil hal krna hai, kiun k haqiqi mushkil kusha to allah hi hai. Is ko shirk kehna jahalat k siwa kuch nahi.
Posted on: Wed, 02 Oct 2013 08:01:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015