ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai jism se ag nikalti hai, - TopicsExpress



          

ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai jism se ag nikalti hai, qaba gili hai sochta hun k ab anjam-e-safar kya hoga log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai shiddat-e-karb main to hansna karb hai mera hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai gard ankhon main sahi dag to chehre pe nahi lafz dhundhale hain magar fikr to chamkili hai ghol deta hai samaat main wo mitha lahja kis ko malum k ye qind bhi zahrili hai pahle rag-rag se meri khun nichora us ne ab ye kahata hai k rangat hi meri pili hai mujhko be-rang hi na karde kahin rang itne sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai meri parwaz kisi ko nahi bhati to na bhaye kya karun zehan ?Muzaffar? mera jibraili ha #Niaxi
Posted on: Sun, 15 Sep 2013 19:52:35 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015