....ek pukar... maa kyun yeh sabh mujhe aisay hai - TopicsExpress



          

....ek pukar... maa kyun yeh sabh mujhe aisay hai tadpattay rehne kyun nahi hai dete mujhe chain se, martay kyun haii yeh humme aise hamesha kyun haii yeh rullatay.... maa kya mein itni buri hoo, ki sab kartay hai istimal mera, rakhtay nahi hai khayal mera, kya karun tere dard ka mein he hoo.. maa too kyun layyi muhje iss duniya mein, jahan ladko se barra hai koi nahi, jahan izzat hum jaisoo ki kahi nahii, ab kaisay rehpaungi mein iss duniya mein.. maa kya kiya tha meine jo milla aisa dand, sab ne mujhe kyun aisay thukraya, apno ne he mujhe marwayya, fir hoo he gya na mera ant.. maa ab too kar mujhpe ek upkaar, ki kabhi na jhuknay degi hamari cheeq, aur kabhi nahi mangaygi hamari azzadi ki bheeq, yahi hai mujh jaisoy ki ek pukar.. ...Simarjeet Singh...
Posted on: Mon, 04 Nov 2013 06:39:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015