(ilm e Ghaib e Nabi Sallallahu alai hi wa - TopicsExpress



          

(ilm e Ghaib e Nabi Sallallahu alai hi wa sallam.) Mas,ala: Kya fermatein hein Ulma-e-deen is mas,alay key barey mein key-baz log Nabi kareem Sallalaho alihiwasallam kay ilm-e-gaib ka inkaar karty hey Aur Quraan ki Chand Aisi Ayat Bayan Karty Hain jis Me Nabi sy ilm Ghaib Ki Nafi ki gai hai, Aaisa Hazrat Ko Kia dalail Diye Jaain ? Al jawab Tamam Tarifain Allah kay liye hain jis nay Apne Nabi (sallallahu alai hi wasallam) ko ghaib ki khabron ka ilm Ataa Farmaya Ilm ki 2 qismain hain, (1) Ilm e Zati (2) Ilm e Aatai(yani Allah ki aata sy milny wala) Ilm e zati sy Muraad wo ilm Hai jo kisi dosry kay diye bina hi hasil ho Aur aaisa ilm Allah kay saath khas hai, yani Allah ka ilm Zati hai kisi ny ussy diya nahi, aur ilm e aatai say muraad wo ilm hai jo makhloq ko Allah ki aata sy ho, lihaza Allah ka ilm la mehdood aur zaati hai, jab Key makhloq ka ilm aatai aur mehdood hai. Ab is baat ko samjhiye kay Quraan Majeed mein jahan bhi is tarha ki aayat hain jis me Nabi e pak Sallallahu alai hi wasallam say ilm e ghaib ki nafi ki gai hai us say muraad ilm e ghaib e zaati hai, Yani matlab ye kay Nabi e Pak(sallallahu alai hi wasallm) Zaati tor par ghaib nahi jaanty aur janab yahi to hamara Aqida hai kay Zaati ilm e ghaib siraf Allah hi ki Sifat hai, Allah Kay siwa kisi kay liye zaati ilm e ghaib ya koi bi sifat zati manna shirak hai, Hamara Dawa Aur Aqida to ye hai Kay hamary nabi e Pak Sallallahu alai hi wasallam Allah ki aata sy Ilm e Ghaib jaanty hain aur iss ki taeed me hum Quran ki bohat si aayat paish karty hain ,aur phr uss kay baad Ahadees bayan karain gy, Nabi kareem Sallala ho alihiwasalam key ilm e gaib ka saboot Quran Kareem sey:- Allah Quran me Irshaad farmata hai: وَ مَا ہُوَ عَلَی الْغَیۡبِ بِضَنِیۡنٍ Tarjama: Ye Nabi Ghaib Batany me Bakheel Nahi. (Surat e Takweer. Ayat No 24) Zara Ghor farmain iss ayat me Allah farma Raha hai Kay Mera Nabi Ghaib ki Khabar Batany me bukhal nahi karta, Qarieen e kiraam aap sub ye baat janty hain aur samjhty hain kay bukhal ka matlab ye hota hai kay kisi kay paas koi cheez ho aur wo ussy dainy me kanjosi kary ya na day, Jabky Allah farma raha Hai Kay Nabi Ghaib ki Khabar batany me bukhal nahi karta, iss say ye Baat wazeh tor par sabit hoti hai Kay Hamary Nabi ghaib Janty hain tabi To Bukhal Nahi karty. Aik Aaqal Mand insaan kay liye yahi aik Daleel Kafi, hai Magar Hum Unn Munkireen e ilm e ghaib Kay radd me aur bi aayat e quraani paish karen gy, Allah ka farman hai: وَاَنۡزَلَ اللہُ عَلَیۡکَ الْکِتٰبَ وَالْحِکْمَۃَ وَعَلَّمَکَ مَا لَمْ تَکُنْ تَعْلَمُ ؕ وَکَانَ فَضْلُ اللہِ عَلَیۡکَ عَظِیۡمًا Tarjama : (Aye Nabi) Allah nay aap par Kitaab Aur Hikmat Nazil ki Aur aap ko wo sub kuch sikha dia jo aap na janty thy, Aur Allah ka aap par Bara Fazal hai.( Surat e Nisaa, ayat No 113) Wah Kitni piyari ayat e karima hai Mere Nabi Pak (sallallahu alai hi wasallam) kay Ilm Ghaib Kay suboot me iss Aayat Me ye Lafz Qabil e ghor hay- وَعَلَّمَکَ مَا لَمْ تَکُنْ تَعْلَمُ Matlab ye kay Aaye nabi jo Kuch bi aap nahi janty thy hum ny un tama cheezon ka aap ko ilm aata farma diya. Mere Musalman Bhaiyon Aur Behnon Iss sy bhar kar Daleel kia ho gi Nabi e Pak( sallallahu alai hi wasallam kay ilm e ghaib par Kay Allah Khud farma raha Hai Kay hum Ny aap ko har uss cheez ka ilm aata farma dia jo kuch aap na janty thy. ab Hum Aik aur aayat e quraani aap ki bargha me bayan karty hain, Allah ka irshad hai, وَ نَزَّلْنَا عَلَیۡکَ الْکِتٰبَ تِبْیٰنًا لِّکُلِّ شَیۡءٍ Tarjama: (aye Nabi) hum Ny aap par aaisa quraan nazil kia jiss me har cheez ka roshan bayan hai. (Surah nahal, Ayat No-89) Allah Mazkora Ayat mein farma raha hai kay hum nay apne nabi par jo kitaab yani Quran nazil kia hai is me har cheez ka wazeh bayan hai, is ayat e karima mein 2 lafz nihayat qabil e ghor hain wo ye kay- لِّکُلِّ شَیۡءٍ Yani har cheez hai, Matlab ye kay quraan mein Allah nay har cheez bayan farma di hai aur ye khitaab Nabi e pak say ab zahir si baat hai kay jub quraan me har waqiya ka ilm hai to wo ilm nabi e Pak sallallahu alai hi wasallam ko bi hasil ho ga kiyo kay ye kitaab nazil Nabi e pak sallallahu alai hi wasallam par hoi hai. Lihaza maloom ye howa kay hamary Nabi e pak sallallahu alai hi wasallam ko Allah ki aata say ghaib ka ilm Hasil hai. Nabi kareem Sallala ho alihiwasalam key ilm e gaib ka saboot Ahadees Mubaraka sey:- Nabi e pak (Sallallahu alai hi wasallam) ka Farman Hai: فرأیتہ عزّوجل وضع کفّہ بین کتفّی فوجدت برد انا ملہ بین ثدّی فتجلّٰی لی کل شیئ وعرفت Tarjama: Kay mene apne Rab ka didaar kia us nay apna Dast e Qudarat mere dono Kandhon Kay darmiyan rakha aur mene uss ki thandak apny seeny me mehsos kia pas ussi waqat mujh par har cheez roshan ho gai aur mene sub kuch pehchan liya.(Book- Tirmizi, kitabu Tafseer) Iss Maqam par Hazrat Abdullah Bin Abaas ki aik aur Riwayat Kay jis me Nabi e pak sallallahu alai hi wa sallam Kay ye alfaaz hain- فعلمت مافی السمٰوٰت وما فی الارض Tarjama: mujhy Zameen o aasman ki har cheez ka ilm Hasil ho gaya.(Book- Tirmizi,kitabu tafseer) Mazkora hadees Kay Bary me imam Tirmizi nay farmaya ye Hadees Hasan sahih hai, aur imam bukhari ny bi iss Hadees ko saheeh qarar diya hai. Subhan Allah, Mazkora Hadees Say aaqida e Ahl-e-Sunnat kia khoob roshan tor par sabit howa kay hamary Nabi e Pak(Sallallahu alai hi wasallam) Ko Allah nay aaisa ilm e ghaib aata farmaya Kay aap nay Zameen o aasman ki har cheez ko jaan liya, Aik aur Hadees Saheeh Muslim me Hazrat e Amar binA khtab say ye hadees Riwayat hai , aap farmaty hain kay Nabi e pak sallallahu alai hi wasllam nay aik din hamain namaz e fajar say ghuroob e aftaab tak khutba diya aur beech me zuhar aur asar ki namaz kay ilawa koi kaam nahi kia, phr farmaty hain- فاخبرنا بما ھو کائن الی یوم القیمۃ فاعلمنا احفظہ Tarjama: Nabi e pak (sallallahu alai hi wasallam) nay is kuthby me hamain wo sub bayan farma dia jo qayamat tak hony wala hai hum me sub ziyada ilm wala wo hai jisy wo khutba ziada yaad hai,(Book, Saheeh Muslim,kitab ul fitan) Allahu Akbar Kia hi piyaari Hadees hai daikho sahaba ka bhi yahi aqida tha kay Nabi Pak Ghaib jannty hain siraf janty hi nahi balky sahaba ko Ghaib bataya bhi aur qayamat tak hony waly waqiyaat bayan farmaaye, mai unn munkir e ilm e Nabi ko dawat e fikar daita hon kay khudara wo tassub ki patti aankhon sy utaar kar Mazkora Ahadees aur Aayat padhay wallah uss ka dil gawahi day ga kay hamary Nabi sallallahu alai hi wasallam ko Allah nay khoob Ilm e Ghaib aata farmaya hai. lihaza mere muhtaram musalan bhaiyon aur behnon, iss baat ko samjh lain kay hamary Nabi ghaib ka ilm rakhty hain, aur Allah ki aata say, aur jahan tak Quran ki un Ayat ka bayan hai jis me Allah k ilawa say ghaib kay ilm ki nafi ki gai hai uss sy muraad zaati ilm hai, aatai nahi, warna ye kaisy ho sakta hai kay quraan ki baaz aayat me nabi kay liye ilm ghaib ka bayan hon aur baaz me inkaar....? aaisa hargiz nahi ho sakta tamam Quran ki aapas me kabi nahi takra sakten, jo hazrat wo aayat bayan karty hain, unn sy hamara ye challeng hai kay wo hamari bayan karda aayat aur aahades ka jawab dain, Wallah hargiz himmat na ho gi jawab dainy ki. Al Hamdulillah Aqida e Ahl-e-Sunnat Quran o Hadees say sabit hai aur is mein koi shak o shuba nahi, aur haan wo log Jo Mutlaqan Nabi Kay ilm e ghaib ka inkaar karty hain, un ka ye amal zarur kufar hai, kay quraan ki baaz ayat par iman laty hain aur baaz ka inkar karty hain, kiyo Hamary Nabi e pak sallallahu alai hi wasallam ka ilm e ghaib hasil hai iss kay suboot me quran ki bohat si aayat aur Ahadees hain, Quran o Hadees ilm-e-Mustafa ( sallallahu alai hi wasallam) kay dalail say bhary pary hain, Allah say dua hai kay apne habeeb e pak sallallahu alai hi wasallam kay sadqy hamain, Huq samjhny aur us kay mutabiq amal karny ki taofeeq aata farmaye aur ba adab banaye aameeen.
Posted on: Mon, 04 Nov 2013 18:37:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015