sabko wishwa aadiwasi diwas ki agrim badhai. aaj - TopicsExpress



          

sabko wishwa aadiwasi diwas ki agrim badhai. aaj charcha..samvidhan,satta aur system ki..kanoon sansad banata hai aur rajya us kanoon ke anukul hi niyam (rules) bana kar use impliment karta hai. lekin kai bar rajya (state) aisa nahi karte.pesa act 1996 iska bada example hai. samvidhan ke 73 amendment ke bad yeh act bana. maqsad tha desh ke schedul area mein panchayat ke provisions ko lagoo karana. kyonki schedule area mein traditional system ko samvidhan se manyta mili thi. issek pahale hue panchayat chunav ko 1995 mein patna high court ne radd kar diya tha. is karan schedle area mein panchayat ke provision lagoo karne ke liye hi 73rd amendment hua. is act mein traditional system ko banaye rakhne ke liye 6th achedule area ke patttern per rules banana hai. pesa ke section 4(0) aur 4(m) ke anusar rule banana hai. lekin abtak jharkhand samet kisi v schedule area mein pesa ke is section ke anusar rules nahi bane. aise mein aaiwasiyon ko adhikar kaise mil sakta hai? is diwas per mang karen ki pesa act ko 100 fisadi lagoo karen aur yanha ke traditional system ko bachhane ki sarkar pahal kare.
Posted on: Thu, 08 Aug 2013 13:45:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015