Aaj itni garmi thi ki aaj 42 cars ki tikli fat jaane ki - TopicsExpress



          

Aaj itni garmi thi ki aaj 42 cars ki tikli fat jaane ki information humein mili aur 2 cars mein aag b lgi.tikli engine ka valve hota hai.jaise presure cooker mein ek safety valve hota hai usi tarah engine ka safety valve ko hum log tikli bolte hai.yeh bhut maamooli si baat ki wazah se hoti woh kmi hai radiotor fan ka na chalna paani ya coolant kam ya no hona.agar paani hi hoga to garam hokar steam ban k udd jaayega.isiliye coolant 70:30 k ratio mein hona chaiye.100% b coolant rakh sakte ho.radiotor saaf na karwaya ho to b engine barbad hoga. Ho sakey to bhut garmi mein car chalane se bachey.kyoki aap car k sath a c b chaloge.kyoki is waqt engine car body ko utha le to ganimat upar se a/c.jo log yeh sochte hai ki warrnty hai to kya sochna woh jaan le ki oil aur paani aur rakhrakhav se upji kmi k liye koi jimeydari nhi li ja sakti.upar se agar timely service nhi le rakhi to b pareshan aap ho honge.is waqt har haalat mein synthetic engine oil shell ka use karo.woh bhut had tak garmi bardasht kar sakta hai. Is waqt garmi se battery b fat jaati hai. Lastly ho sake to din mein car chalane se bacho.aur dekhrekh mein kmi bhaari pad jaayegi. ;)
Posted on: Thu, 05 Jun 2014 16:49:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015