Aawargi - Mohsin Naqavi “bade wasooq se duniya fareb deti - TopicsExpress



          

Aawargi - Mohsin Naqavi “bade wasooq se duniya fareb deti hai bade khuloos se hum aitbaar karte hain” yeh dil yeh pagal dil mera, kyon bujh gaya aawargi is dasht mein ik shahar tha, vo kya hua aawargi kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya main ne kaha tu kaun hai, usne kahaa aawargi ek tuu ke sadiyon se mere, humraah bhi humraaz bhi ek mein kii tere naam se, na-aashana aawaragi ye dard kii tanahaaiyaa.N, ye dasht kaa viiraa.n safar ham log to uktaa gaye apnii sunaa, aavaargii ik ajnabi jhonke ne jab, pucha mere gam ka sabab sehra ki bheegi ret par, main ne likha aawargi kal raat tanha chand ko, dekha tha main ne khwab main “mohsin” mujhay rass ayegi, shayad sada aawargi Dasht: Desert, Hands, Jungle, Wilderness Shab: Night Sadiyon: Centuries Ham-Raah: Fellow traveler Ham-Raaz: Confidant Na-aashnaa: Not Acquainted, Stranger Uktaa jaana: Get Bored Sabab: Cause, Occasion, Reason Raas aanaa: To Find Suitable, Like
Posted on: Sat, 03 Aug 2013 16:31:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015