Abu Said Khudri se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi - TopicsExpress



          

Abu Said Khudri se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subahanahu jannat walo se farmayega ki Eh jannat walon, Jannati jawab dengey hum hazir hain Eh Rab teri Sa’adat hasil karney ke liye,Allah Subhanahu puchega ki kya ab tum khush huye, wo kahengey ki Ab bhi bhala hum razi kyun nahi hongey jabki tuney humko wo sab kuch de diya jo apni makhluq mein se kisi ko nahi diya , Allah Subhanahu farmayega ki main tumko is sey bhi behtar cheej dunga,Jannati kahnegey ki Eh Rab is sey behtar cheej kya hogi , Allah Subhanahu farmayega ki Ab main meri Razamandi tum par hamesha rakhuga yani iskey baad ab tumse kabhi Naraz nahi hunga Sahih Bukhari, Vol 8, 6549 Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jisey unhoney habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhoney uska tazkara Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam se bhi kiya, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banatey aur usmein yahi tasweerain bana detey , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq se burey hongey Sahih Bukhari , Vol 1, # 427 Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Hadith: Jab Juma ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain _______________ Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aaney wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey(ram) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi (chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab Imam (khutba dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain. {Sahih Bukhari, Vol 3, 929} ﺍﻟﻠَّﻬُـﻢّ ﺻَــــــﻞ ٌ ﻋﻠَﮯَ ﻣُﺤﻤَّــــــــﺪْ ﻭ ﻋﻠَﮯَ ﺁﻝ ﻣُﺤﻤَّــــــــﺪ ْAllahumma salli Ala Muhammad wa ala aali Muhammad
Posted on: Fri, 01 Nov 2013 07:15:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015