Asghar Asghsar kehte kehte ankh agar lag jati ha khwab me Asghar - TopicsExpress



          

Asghar Asghsar kehte kehte ankh agar lag jati ha khwab me Asghar aa jata ha maan noha dohrati ha dhoondh k Charon simt pisar ko haran si reh jati ha der talak ab roye nahin ha jaan badan me uske shakle pisar ha aankhon me r yad ha man me uske dekh k chehra Abid ka ansu apne pi jati ha rowo na amman rowo na amman ek din Asghar ayega saath gaya ha baba k wo pani pi kar ayega bali Sakina ro ro kar kuch maan ko yun samjhati ha jab tak Asghar aaye amman ham ko lori dijye aa jaye jab lot k bhayya aap use le lijye neend to ham ko sine par bas baba k hi aati hi choom k chehra beti ka maan sar ko hila kar kehti ha Allah tumhari khair kare maan dekh k tum ko jiti ha harwaqt tumhara rona r zindan ki fiza holati ha haaye na mera waris ha na mera noore ain lot k Asghar aayenge na mere dil ka chain qaid se chhute chhute dekhen kya qismat dikhlati ha meri pyari meri kamsin thoda sa so jaya kar maan se bi kuch baten kar kuchh khud ko bi samjhaya kar saara saara din roti ha raat bi yun kat jati ha bholi si masoom Sakina maan ki baten sunkar baba baba kehti ha r roti ha sar dhun kar apna dil betab ha r maan beti ko behlati ha teer gale me Asghar k r sheh k gale pe khanjar dekh k aayi hain ye Sharib karbobala k manzar ye karbobala ki yaad hi inko aath pehar rulwati ha.
Posted on: Fri, 22 Nov 2013 03:49:56 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015