Assalamu Alaikum Hazrat Tajusshariah Mufti Akhtar Raza khan Qadri - TopicsExpress



          

Assalamu Alaikum Hazrat Tajusshariah Mufti Akhtar Raza khan Qadri Damat Barktatuh 6 August 2014 Saturday ko Germany ke city Rounhiem (near Frankfurt) aaye hue the jahan unki ziyarat ke liye hum Apni family ke saath London se gaye jin me Abdul Qadir, Mushtaq Ahmed, Tofik Ahmed, Mohammad Tanzim, Mohammad Salim shamil the. Alhumdulillah wahan Germany me aap ka achha program hua aur aap ke saath zindagi ke qimti aur haseen lamhe guzre. Kuchh aisi batein hum aap ke saath share karna chahte hain jo humne Allah ke is wali aur humare Peero Murshid ke saath rehkar mehsoos ki. Jub Hazrat Sunday 7 August ko Germany se Turkey rawana hone ke liye Frankfurt Airport aaye us waqt Zohar ka waqt ho gaya tha. Aap ne airport per namaz shuru ki to aap ke mureed aur chahne wale aas paas khade ho gaye. Aap ne buzurgi hone aur pairo me Taklif ke bawajood khade ho kar aur bade sukun se namaz adaa ki. Wahan se jo bhi Guzarta tha chahe gora hoya kala achhe achhe khubsurat log bhi aapke chehre ki ziyarat karte to wahi ke wahi khada reh jata. Jisme ek Turkey ki family k log jo kayee der tak aapki ziyarat karte rahe aur aapke bare me malumat karte rahe. Ek German police officer ne aa kar Tofik se pucha ke ye Hazrat Sufi hain? Tofik ne kaha ke haan to usne apne sine per haath rakh ker badi khushi se kaha ke... Oh I like Sufi ek African jo christian lagta tha wo jab waha se guzra jaha Hazrat Namaz parh rahe the to wo Hazrat ko dekh kar wahi ruk gaya aur bahot der tak aapki zyarat karne laga jab Hazrat ki ziyarat ki to usi waqt jaise fida ho gaya uski aankhon se ansu jari ho gaye. Wo ek kursi par ja kar khada ho gaya aur logo ko dekh kar apne haath se hazrat ki taraf ishara karne laga (esa lagta tha jese wo airport me mojood logo se hazrat ki zyarat karne ko keh raha ho)fir Woh apne dono haath Hazrat ki taraf jod kar zamin per let gaya. aur zor zor se rone laga. Hazrat k mureed aur chahne wale Abdul qadir, Tofik aur hamari family ki aurte aur dusre bahot log jo waha khade the unho ne ye manzar apni aankho se dekha fir sab log Hazrat ki shaan aur aapka Rutba Bayaan karne Lage Dekh kar koyi kamalate shaha Akhtar Raza Germany me Ho gaya tha Shaida Mere Peer ka Har Jaga Har Mulk me He Unke Aashiq Be-Shumaar Chaar su Faila Huwa He Saaya Mere Peer Ka Ala Hazrat, Muftiye Aazam He Aur Hamid Raza Kitna Achha Kitna Pyara Kumba Mere Peer Ka Ishq Ki Rangat Me Turkee Jisne Sabko Rang Diya Ha Wahi Ahmed Raza He Dada Mere Peer Ka.
Posted on: Wed, 10 Sep 2014 18:29:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015