Asslam U Alaikum Warahmatullahi Wbrkatohu ∗ Qabro Ki Ziyarat - TopicsExpress



          

Asslam U Alaikum Warahmatullahi Wbrkatohu ∗ Qabro Ki Ziyarat Mardo Par Halaal Aurto Par Haraam…. » Hadees : Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Tum Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo Kyunki Wo Tumhey Maut Ki Yaad Dilati Hain”. -(Sahih Muslim, Vol2, 2259) » Hadees : Buraida (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Mainey Tumhey Mana Kiya Tha Qabro Ki Ziyarat Karney Se Lekin Ab Tum Ziyarat Karo Unki”. -(Sahih Muslim, Vol5, 5114) » Hadees : Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Qabro Ki Ziyarat Karo Kyunki Ye Tumhey Aakhirat Ki Yaad Dilati Hain”. -Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1569 (Sahih) » Hadees : Ibn Abbas (Radi Allahu Anhu) Farmatey Hain Ki, “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Qabron Ki Ziyarat Karney Wali Aurton Par Laanat Farmayee Hain”. -Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1575 (Sahih) » Hadees : Abdullah Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) Se Riwayat Hai Ki, “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Qabro Ki Ziyarat Karney Waali Aurton Par Laanat Farmayee Hai Aur Isi Tarah Qabron Par Masjid Bananey Walo Aur Uss Par Chirag Karney Walon Par Bhi Laanat Farmayee Hai”. -(Sunan Abu Dawud, Vol 2, 1459) Rrîzwãñ-Ãñßârî
Posted on: Mon, 26 Aug 2013 05:59:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015