Atlanta me aaj teesra din hai. 1996 me hue Olympic ka mejban raha - TopicsExpress



          

Atlanta me aaj teesra din hai. 1996 me hue Olympic ka mejban raha yah shahar aaj bhi us Olympic ki yad jehan me rakhe hue hai. Yah shahar Ted Tenner, Jimi Carter aur Andrew young se bhi jura hua hai. Aur sanyog hi hai ki aaj sham ko is shahar me jimi carter ki 89th Jayanti manayee ja rahi hai. Atlanta ke downtown me gaganchumbi imarten aapko vihwal kar degi. Jeorgia university yahan ka pratishit university hai. Parso sham me Atlanta Airport par utra tha. Yah airport aajkal world ka sabse vyast airport hai. kafee bara. train se muje baggage counter par le jaya gaya. Mere host Sri S.P.Singh aur unki patni Mrs. Raghubir bahar khari thee. Bahut apnapan hai. Sham me Panjabi brothers ki ek meeting me mujhe le jaya gaya. Deewali ke awsar par ek cultural programme ka aayojan kiya ja raha hai aur usi ki taiyaree ke liye yah meeting hai. American system me 17 dollar meeting ke participation ka charge hai, khana aur khub daru peena. Kuch mahilayen bhi thee. veg aur non veg jokes khub chale. rat me 11 baje ghar lauta. Kal pura din Atlanta Downtown me bitaya. ek se barhkar ek building, park, hotel, banks. Jimi Carter library bhi bahut lajwab hai.Freeway 75 aur 85 ke beech pichhle tin dinon me saikron mile ghum liya hai. Mere samman me kal rat me party ka aayojan kiya gaya tha. Aise aayojanon me thodi jhijhak hoti hai. Mujhse umra, anubhav, pad aur paise me sabhi bare hain. Mujhe who aadar se dekhte hain. thori sakuchahat hoti hai. Party me daru ka hona jaroori hai. Mujhe chhorkar sabhi piye. khub baaten hui. Mujhse log mere research ke bare me khub question poochhte hain. Ek Engineer the ravi ji, unka history aur politics par gajab pakar tha. 11.30 baje rat me party khatm hui. Aaj subah Ruby Fall dekhne ke liye nikal para. Atlanta me jahan main ruka hua hoon, stockbridge me, wahan se lagbhag 120 miles hai. Freeway 75 par garee ki speed 120 km per hour rahti hai, lekin pata bhi nahi chalta. Mujhe Jeorgia ka Welcome centre le jaya gaya. Aap kisi state me ghuste hain, wahan ke welcome centre me aapko sari baton ki jankari mil jati hai. Sath hi rest room, picnic spot bhi. Ruby fall ek tilism ki tarah hai. Aapko lift se jameen ke bahut neeche le jaya jata hai. wahan par natural gufa ko tarash kar rasta banaya gaya hai. Gufa me aap ghanton ghumte hai aur pathar aur pani se bani hui manmohak aakriti dekhte hain. ant me Ruby fall. wahan pahunchkar aapki sudh-budh bhula jati hai. Artificial light and sound me natural falls. Swargik sukh hai. Aanand aa gaya. wapas me ghume-ghumte Atlanta pahuncha hoon. Kal Atlanta gurudwara me ek meeting rakhi gai hai, mujhe wahan shayad chhota sa bhashan dena hoga. Shayad kal main Swami Narayan temple bhi dekhne jaoonga. Gujrati samaj ke log mukta hast se is mandir ko dan dete hain. Kisi ne bataya ki blank cheque de dete hain ki bhar lijiye, jitni aapko jaroorat hai. Atlanta me mujhe Ghadar se related kuchch documents mile hain. Shri S.P.Singh Ghadar ke hero Bhai Bhagwan singh ke grandson hain aur Ghadar ka bhaut sare documents jama karke rakhe hue hain.
Posted on: Sun, 06 Oct 2013 00:31:09 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015