Bhaiyon Aur Behano Hum Hadees Toh Roz Parthe Hai Aur Bukhari Ka - TopicsExpress



          

Bhaiyon Aur Behano Hum Hadees Toh Roz Parthe Hai Aur Bukhari Ka Reference Lete Hai, Magar Hum Sabko Ab Tak Ye Nahi Pata Imaam Bukhari Kaun Hai? Hum Aaj Baithe Baithe Bahot Sare Hadees Parh Lete Hai, Magar Inhone Kitni Mehnat Ki Hogi Inn Sari Hadees Ko Jama Karne Ke Liye. Ek Musalman Hote Huye Hum Sabko Inn Aashik-e-Rasool Ke Bare me Bhi Ilm Hona Behad Jaruri Hai, Kyu Ki Inhi Ki Ba’doulat Allah Taala Ne Rasool-e-Paak Ki Nayab Sunnato ko Hamse Mukhatib Karwaya. Aur Beshaq Allah Chun Leta hai Apne Bando Ko Deen Ki Khidmat Ke liye… ♥ Imaam Bukhari (Rahmatullah Alayh) ♥ Inka Pura Naam Hai Muhammad Al-Bukhari, Aur Ye Persian (Iran) Ke Rehne Wale Hai. Ye Hanbali Hai Aur Ahle Sunnat Ke Imaam Hai. » Wiladat : Inki Wiladat 19 July 810 C.E. (13th Shawwal 194 A.H) Afganistan Ke Shehar Bukhara Me Huyi, Aur Unki Wafat 60 Saal ki Umar me 1st September 870 (1 Shawwal 256 A.H.) Samarqand ke Paas Khartank me Hui. » Talab-e-Ilm Ka Safar : 16 Saal Ki Umr (Age) Me Inhone Makkah Ke Liye Hadees Jama Karne Ke Liye Safar Kiya. Inhone Kareeban 6 Lakhs Hadees Jama Kiye Aur 7525 Hadees Ko Sahih Ka Darja Diya. Hadees Jama Karne Ke Baad Inhone Khud 6 Saal Tak Hadees Dusro Se Chupaya, Kyu Ki Wo Pehle Khud Hadees-e-Mubarak Ko Apne Amal Me Lana Chahte The. Ahle Sunnat Ke Nazdiq Aur Dusre Bahot Hadees Amal Karne Me Muslim, Abu Dawood, Tirmidhi, Nisai, Ibne Kasir, Sunan Ibne Maja Etc Ke Hadees Bhi Liye Jate Hai. Allah Hum Sabko Hadees-e-Mubarak Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye… Ameen !! Jazakallah Khair Note: Likhne Me Koi Khata Hui Ho Toh Hame Zarur Ittela Kare… !!!! Dua Ki Darkhwast !!!! . Talibe Dua (HEENA)
Posted on: Mon, 22 Jul 2013 16:05:59 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015