Bismilahi wassalamo alaa rasoolAllah 1) Kya Aap Namaz Me Aasteen - TopicsExpress



          

Bismilahi wassalamo alaa rasoolAllah 1) Kya Aap Namaz Me Aasteen Ya Paechy Fold To Nahi Kartey? Yaad Rakhye! Aisa Karna, Shalwar Dabochna Yaa Kisi Bhi Tareeqe Se Kaprey Ko Morna Makrooh Tehrimi(Qarib Ba Haraam), Is Amal Ke Sabab Namaz Lotaana WAAJIB He. (Bukhari J#1 P#113, Muslim J#1 P#193, Tirmizi J#1 P#22, Abu Daud J#1 P#94) 2) Hadees-e-Pak ka mafhoom: NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne irshaad farmaya, “Mujhey Saat (7) Haddiyon (2 hatheliyan, 2 ghutney, dono qadam aur peshaani) per sajdah karney aur baal aur kaprey na Uraasney (Na Fold karney) ka hukum diya gaya hai”.. (Sahih Muslim, H#1076) (Sahih Bukhari, H#774) 3) Imam e Ahlesunnat: "Payinche Takhne Se Niche Rakhna Bi Makrooh e Tanzihi He" Bahawala Bukhari O Fatawa Alamgiri (Fatawa Razawiya 27/93) 4) Kaprha Morh Kr Ya Shalwar K Painche Fold Kr K Namaz Ada Krna Makroh E Tehrimi He Yani Namaz Ka Lotana Wajib He- BUKHARI>1/113 MUSLIM>1/193 5) Aaj kal baaz log Namaz k liye apni Shalwar ya pent ko uppar ya nichey se fold kartey hain aur Daleel yeh detay hain k dekho Hadees main hai jis k paenchey takhnon se nichey ho woh aag main hai, Lekin dar Haqeeqat maamla is k bar’aqs hai q k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaaya jo Shakhs Takabbur ki Wajah se paaenchey Nichey rakhey ga us kawoh hissa aag main hoga, lihaazah mas’ala bilkul waazeh hogaya k agar Namaz se baahir takabbur peda ho to kapron ko fold kar liya jaey 6) Agar Paenchey nichey karney kiwajah se bil farz namaz main takabbur aata ho to kaprey choteyistimal Karen magar fold karney kiijaazat kisi surat nahin hai… Please Apni namaazon ki hifaazat Karen aur namaz k liye apney Kapron ko Hargiz fold na Karen
Posted on: Sat, 29 Jun 2013 02:19:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015