Bismillahirrahmanirrahim Al Quran : Aur be-Ilm log kahte hain - TopicsExpress



          

Bismillahirrahmanirrahim Al Quran : Aur be-Ilm log kahte hain ki ALLAH humse Kalam kyu nahi karta ya hamare pass koi nishani kyu nahi aati. Unse pahle bhi log aisee hi baatein kah chuke hain unke dil ek jaise hain , yaqeen karne walo ke liye to hum nishaniyan bayan kar chuke hain Surah Al-Baqarah (2) , 118 Al Quran : Kya un logon ne parindo ko nahi dekha ki Aasman ki hawa mein thamey (ghirey) huye hain unhey Allah ke siwa kaun thaamey huye hai, beshak ismein bhi Imaan walon ke liye badi nishaniyan hain Surah An-Nahl (16) Verse 79 Al Quran : Allah hi Raat aur Din ko badalta hai beshaq ismein Aankho walon ke liye ibrat ( Sabaq aur Nishani) hai Surah An-Noor (24), Verse 44 Al Quran: Aur raat aur din aur suraj aur chand uski nishaniyo mein se hain tum log na to suraj ko sajda karo aur na chand ko bulki ALLAH hi ko sajda karo jis ne in cheezo ko paida kiya hai , agar tumko uski ibadat manzur hai Surah Fussilat (41), verse 37 --------------------------- Al Quran : And those who have no knowledge say: Why does not Allah speak to us (face to face) or why does not a sign come to us? So said the people before them words of similar import. Their hearts are alike, We have indeed made plain the signs for people who believe with certainty. AL Quran , Surah Al-Baqarah (2) , 118 Al Quran : Do they not see the birds held (flying) in the midst of the sky? None holds them but Allah [none gave them the ability to fly but Allah]. Verily, in this are clear Ayat (proofs and signs) for people who believe (in the Oneness of Allah). Surah An-Nahl (16) Verse 79 Al Quran: Allah alternates the night and the day. Indeed in that is a lesson for those who have vision. Surah An-Noor (24), Verse 44 Al Quran: And from among His signs are the night and the day, and the sun and the moon. Prostrate yourselves not to the sun nor to the moon, but prostrate yourselves to ALLAH Who created them, if you (really) worship Him. Surah Fussilat (41), verse 37
Posted on: Sun, 26 Jan 2014 17:04:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015