Chand log aise hain, is mere desh me, bhediye hain lekin, bhedon - TopicsExpress



          

Chand log aise hain, is mere desh me, bhediye hain lekin, bhedon ke wesh men. log mar rahe thi bhukhe pyase, khana bhi kam na tha, par jhhandi dikhane wale,.................. the widesh me. Har taraf thi lashen, cheekho-pukar thi, bete ki lash seene se chipka dularti.. us maan ke liye plane me jagah nahi thi... is maan ke liye planon ki puri katar thi. Lipat pati ki lash se bhookhi mar gayee "VIMLA" ye dekh bahut roi thee maan bhartee... marne wale mar gaye tum jio jee bhar ke insaniyat mar gai roti pukarti....... jaldi se chhapo poster sunder YUWRAAJ ke, roti, dawa se pahle inhe pahunchao sarthi, news chainlon pe ik alag hi news war thi, koi mare ya jiye......bas (TRP) tee aar pee. Ek naya roop dekha veer jawanon ka hamne, sena ka har jawan devdoot ban gaya jokhim men dekhi jaan, usne jab kisi ki, apne aapko bhool uski jaan ban gaya. Dum tod gaya "CHIRAG" sun rahe ho "bapu" ?? beh gaya yahin kahin "RISHIKESH" men, tum dekh rahe sab kuchh, goonge-bahron ke sath,, KYA YAHI HON BAKI THA IS TERE DESH MEN ???????????????????
Posted on: Mon, 22 Jul 2013 17:24:33 +0000

Trending Topics




© 2015