DAJJAL........ Kon Hai ? » Dajjaal Qayamat Se Qabal Zaahir Hoga. - TopicsExpress



          

DAJJAL........ Kon Hai ? » Dajjaal Qayamat Se Qabal Zaahir Hoga. – (Muslim Sharif) » Dajjaal Iran K Shaher Kharaasaan Se Niklega. – (IbneMaajah) » Dajjaal Us Waqat Zaahir Hoga Jab Loog Us Se Bilkul Gaafil Ho Chukey Hoonge. - (Ahmad) » Kisi Baat Par Gazabnaak Hona Dajjaal Ke Nikalney Ke Sabab Baneyga (Muslim Sharif) » Dajjal Bahar-e-Hind Ke Kisi naa Maloom Jazeerey Par Zangeeron Se Jakdaa Howa Hai. – (Abu Dawood) » Madeenay Ke Yahoodi Gharane Me Paidaa Hone Wala ‘Saaf’ Dajjaal Hai Jo Pehle Islaam Laaya Baad Me Murtad Ho Gaya, Dajjaal Ki Kuniyat Ibni Sayaad Ya Ibni Saayid Hai. – (Muslim Sharif) » Dajjaal Ki Aik Aankh Kaani Aur Usk Sar Ke Baal Gongraaley Hoongey Rang Sorokh Aur Jism Bhaari Hoga. – (Bukhari Sharif) » Dajjaal Ki Dono Aankhon Ke Darmiyaan ‘Kaafir’ likha Hoga. – (Bukhari Sharif) » Dajjaal Ke Sar Pe Buhat Zyada Baal Honge. – (Ibne Maajah) » Dajjaal Ke Paas Jannat Aur Jahannam Dono Hoonge Us Ki Jahannam Jannat Hogi Aur Jannat Jahannam Hogi. – (Muslim Sharif) » Dajjaal Ke Paas Paani Hoga Jo Asal Me Aag Hogi Aur Aag Hogi Jo Asal Me Meetha Paani Hooga. – (Muslim Sharif) » Dajjaal Ke Hukum Se Aasmaan Se Baarish Hogi, Zameen Se Ghaas, Anaaj Wagairah Ugey Ga Jaanwar Pehle Se Zyada Dhood Dena Shooro Kar Dengey. – (Muslim Sharif) » Dajaal Ke Zaahir Hone Ke Baad Kisi Ka Imaan Lana Allah Ke Yahaan Qabool Nahi Hoga. - (Muslim Sharif) » Aadam (Alaihi Salaam) Se Le Kar Qayamat Tak Fitn-e-Dajjaal Se Bada Fitnaa Aur Koi Nahi Hoga. – (Muslim Sharif) » Jo bhi Shakhas Dajjaal Ka Zamana Paaye Wo Dajjaal Ke Saamne Na Jaaye. – (Abu Dawood) » Fitn-e-Dajjaal Se Dar Kar Musalmaan Pahaadon Me Chup Jaayenge. (Muslim Sharif) » Dajjaal Duniya Ki Har ek shaher Me Daakhil Hoga Srif Do Shahron Ke Makkah Mukarramah Aur Madeenatul Munawarah. – (Muslim Sharif) » Fitn-e-Dajjaal 1 Saal 2 Mahh Aur 2 Hafta Hogi - (Muslim Sharif) » Iran Ke ek Shaher”Asfahaan” Se 70000 Yahoodi Dajjaal Ka Saath Dengey. – (Muslim Sharif) » Motey Aur Chodey Chahrey Waali Buhat Se Aqwaam Dajjaal Par Imaan Ley Aayengi. – (Tirmizi Sharif) » Kaafir Aur Munafiq bhi Dajjaal Ka Saath Denge. – (Muslim Sharif) » Aasmanse Nazool Hone Ke Baad Eesaa (Alaihi Salaam) Musalmaano Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karenge. Musalmaano Ko Fatah Hogi aur Dajjaal Eesaa (Alaihi Salaam) Ke Haathon ”Ladd” Ke Maqaampar Qatal Hoga. – (Muslim Sharif) » Dajjaal Se Jung Karne Ke Liye Musalmaano Ka Padaaw Dimashaq (Damascus) Ke Kareeb ‘Gotah’ Ke Maqaam Par Hoga (Abu Dawood) » Eesaa (Alaihi Salaam) Dajjaal Ko Khud Apne Teer Se Qatal Karenge. – (Muslim Sharif) » Daryaa-E-Urdun Par bhi Dajjaal Se Ahle Imaan Ke Mo’arqah Hoga. – (Tibrani) » Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Me Aik bhi Yahoodi Zindah Nahi Bach Paayega. – (Muslim Sharif) » Eesaa (Alaihi Salaam) Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karne Wale Musalmaano Ke Liye Jannat Ki Bashaarat Hai. – (Nasayee) » Ummat-e-Mohammadiyah Ki Aakhri Jung Dajjaal Ke Khillaf Hogi Is Ke Baad Jihaad Khatam Hojayga. – (Abu Daawood) » Madeenah Munawarah Ke Saat Raaston Par Allah Do Do Nigraan Farishtey Muqarar Farmaa Dega Jo Dajjaal Ko Madeenan Munawarh Me Daakhil Nahi Hone Dengey. – (Bukhari Sharif) » Makkah Mukarramah Meb Dajjaal Daakil Nahi Ho Sakega. – (Muslim Sharif) » Alhe Imaan Ko Allah Fitn-e-Dajjaal Se Mehfooz Rakhega. – (Muslim Sharif) » Allah Ke Fazal Se Anpad Ahle Imaan bhi Dajjaal Ki Paishani Par ‘Kaafir’ Lafaz Pad Kar Use Pehchaan Leynge. – (Muslim Sharif) » Jo Loog Dajjal Ko Pehchaan Kar Apney Imaan Par Qaayim Rahange Un Par Dajaal Ka Koi Fareb Nahi Chalega. – (Muslim Sharif) » Dajjaal Aik Momin Aadmi Ko Aar Se Cheer Kar Do Tukdey Kare Ga Aur Zinda Hone Ka Hukum Dega Aur Dobra Qatal Karna Chahey Ga Magr Allah Paak Us Momin Ko Peetal Ka Bana Dega Aur Dajjaal Use Qatal Nahi Kar Paayega. – (Muslim Sharif) » Fitne Dajjaal Se Bachne Wale Loogon Ko Allah Duniya Me Hi Eesaa (Alaihi Salaam) Ki Zubani Buland Darjaat Ki Basharat Dega – (Ibni Maajah) » Surah Kahaf Ki Pehli Dus Aayaat Ko Yaad Kar Ne Wale Shakhas Ko bhi Allah Fitne Dajjal Se Mehfooz Rakhega. – (Abu Dawood) » Fitn-e-Dajjaal Se Bach Neki Dua ‘Ay Allah Me Teri Pannah Maangta Hoon Azaabi Qabar Se, Fitne Dajjaal Se Zindagi Aur Maut Ke Fitno Se, Gunah Se Aur Karaz Se. – (Bukhari,Muslim Sharif ) Allah Hum Sab Ko Dajjal Ke Fitne Se Bachaye … Aameen
Posted on: Sat, 17 Aug 2013 14:14:19 +0000

Trending Topics



oom H4n Handy Recorder
आरएसएस और बीजेपी के

Recently Viewed Topics




© 2015