Ek baadshah ke 4 bete the. Ek baar us ne apne beto ka imtihan - TopicsExpress



          

Ek baadshah ke 4 bete the. Ek baar us ne apne beto ka imtihan lene ke liye sab ko kuchh chawal ke daane diye aur kaha ‘In ko sambhalkar rakhna aur jab main ise wapas maangu to mujhe dena.’ (Must Read) Pehle bete ne socha ke in ko sambhalne ki mehnat kyun karu aur apne hisse ke daano ko fenk diya. Dusre bete ne apne hisse ke daano ko chabakar kha liya. Teesre bete ne apne hisse ke daano ek dibbe me band karke rakh diya. Chothe bete ne apne hisse daano ko khet me bo diye. 1 saal baad jab baadshah ne apne beto se wo chawal ke daane wapas maange, To pehle aur dusre bete ne sach baat bata di. Teesre bete ne dibbe me se chawal ke daane nikalkar diye. Aur chothe bete ne kaha ke un daano me se itne chawal uge hain ke aap ko use lene ke liye mere saath khet me aana padega. ********* Dunya me 4 qism ke log hote hain : (1) Pehle wo hain, Jo ALLAH ta’ala se milne wali ne’amato aur khas kar ilm ki qadr nahi karte. Jo milta hai use samhalkar nahi rakhte. (2) Dusre wo hain, Jo un ne’amato ya ilm ko us waqt ke liye istemal kar lete hain. Jab dusri baar zaroorat ho tab wo chiz unke paas nahi hoti. (3) Teesre wo hain, Jo un ne’amato ko apne liye samhalkar rakhte hain aur kai baar to apne liye ya dusro ke liye bhi sahi istemal nahi karte. (4) Chothe wo hain, Jo us ne’amat ya ilm ko dusre ke faide ke liye bhi istemal karte hain. Wo ALLAH ta’ala ke ata kiye gaye ilm ko yaad bhi rakhte hain aur us par amal bhi karte hain, us se khud bhi faida hasil karte rehte hain aur dusro ko sahi ilme deen sikhakar unko bhi faida pahunchate hain...
Posted on: Sun, 03 Nov 2013 14:17:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015