Ek bachpan ka zamana tha, khushiyo ka khazana tha.. Chahat Chaand - TopicsExpress



          

Ek bachpan ka zamana tha, khushiyo ka khazana tha.. Chahat Chaand ko pane ki, DIL titli ka Diwana tha.. khabar na thi kuch Subah ki, na Shaam ka thikana tha.. Thak-haar ke aana school se, Par khelne bhi jana tha.. Dadi ki kahani thi, Pariyo ka fasana tha.. Barish me kaghaz ki kashti thi Har Mousam suhana tha.. Har khel me Saathi the, Har Rishta nibhana tha.. Gham ki zuban na hoti thi, Na zakhmo ka paimana tha.. Rone ki wajah na thi, Na hasne ka bahana tha.. ye kahan aa gaye.. "wobachpan hi suhana tha"
Posted on: Thu, 11 Jul 2013 10:45:17 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015