Frnds.......Ek bar fir......Ambiya A.S. ki series ka agla - TopicsExpress



          

Frnds.......Ek bar fir......Ambiya A.S. ki series ka agla hissa.....request he ki pasand aaye to apne responce de plz........... - Aziz Dosto …. Jab Shaitaan Mardood Aur Laanati Ho Gayaa Toh Uske Jannat Me Dakheele Par Paabandi Lag Gayee. Ab Woh Jannat Me Dakheel Nahi Ho Sakta Tha. Aziz Dosto Riwaayato Me Hai Ki Jab Allah Subhanahu Ta’ala Ne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ke Putle Me Rooh Foonki To Rooh, Jism Me Andhera Hone Ki Wajaah Se Ghabraakar Baahar Nikal Aayee . Fir Allah Subhanahu Ta’ala Ne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ke Jism Ko Noor-e-Mohammedi Ke Noor Se Roshan Kiya Aur Tab Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ki Rooh Unn Ke Jism Me Dakheel Huyee. Lekin Rooh Abhi Aadhe Jism Tak Hi Pahoonchi Thi Ke Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ne Uthne Ki Koshish Ki. Isi Wajaah Se Allah Subhanahu Ta’ala Ne Irshaad Farmaaya Ki, “Insaan Bahut Jaldbaaz Hai”. Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Jab Uth Kar Baith Gaye To Unhe Cheenk Aa Gayee Aur Tab Aadam (Alaihay Salam) Ne Alhamdulillah Ke Alfaaz Adaa Kiye. Allah Subhanahu Ta’ala Ne Aadam (Alaihay Salam) Ko Ilm Aur Hiqmat Ki Baate Sikhayee Garaz Ye Ki Aaj Duniya Me Jitni Bhi Zubaane, Bhashaye, Ya Boli Ya Boli Jaati Hai Woh Sab Aur Duniya Ke Tamaam Uloom Sikhaaye Aur Tamaam Chizo Ke Naam Bhi Sikhaaye. Fir Allah Ta’ala Ne Tamaam Farishto Ke Saamne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ko Huqm Diya, “Aye Aadam ! Bayaan Kar Jo Bhi Baate Aur Ilm, Maine Tujhe Sikhaayee Hai, Agar Tu Sacha Hai”. Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ne Woh Saari Baate Aur Woh Sara Ilm Jo Allah Ta’ala Ne Unhe Sikhayee Thi Sab Farishto Ke Saamne Bayaan Kar Di. Iss Par Tamaam Farishto Ne Ek Saath Kahaa, “Paak Hai Tu, Aye Hamaare Rab ! Beshaq Tu Jo Jaanta Hai, Ham Wo Nahi Jaante, “Aur Allah Ta’ala Ne Hazrat Aadam Ko Jannat Me Rahne Ka Huqm Diya, Aur Iss Tarhaa Aadam (Alaihay Salam) Jannat Me Rahne Lage. Jannat Me Khaane Pine Aur Ghumne Firne Ko Bahut Kuch Tha. Lekin Tanhaa Akele Hone Ki Wazah Se Aadam (Alaihay Salam) Udaas Rahne Lage. Fir Allah Ta’ala Ne Aadam (Alaihay Salam) Ki Baayee Pasli (Chaati Ki Haddi) Se Bibi Hawwa Ko Banaya. Iss Tarhaa Woh Dono Ek Dusre Ka Saath Pa Kar Khushi Khushi Jannat Me Rahne Lage. Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Tum Dono Jannat Me Jo Chaahe Khaavo Piyo Aur Ghumo Firo, Lekin Khabardaar Uss Mamnuwaa Sajar (Pedh, Poudha) Ke Paas Mat Jaana Aur Uss Ka Fal Mat Khaana Warna Tum Log Zaalimo Me Se Ho Jaawoge. Ek Riwaayat Me Hai Ki Woh Sajar Gandoom (Gehoo) Ka Tha Ya Uss Se Milta Julta Tha. (Allah-U-Aalam ) Jannat Me Saanp (Snake) Tawoos, Mor (Pecock) Bhi Rahte The. Aur Wo Dono Jannat Se Baahar Bhi Aaya Jayaa Karte The. Uss Waqt Saanp Ke Pair (Legs) Bhi The Aur Uske Muhh Se Abhraq Ki Bahut Achchi Khushboo Aati Thi. Aur Mor Jitna Abhi Khubsurat Hai Uss Se Bhi Kahi Jiyaada Khubsurat Tha Aur Uske Pair (Legs) Bhi Bahut Khubsurat The. Eik Din Jab Dono Jannat Se Baahar Aaye Toh Shaitaan Se Unki Mulaaqat Huyee. Shaitaan Ne Kahaa, “Mujhe Bhi Apne Saath Jannat Le Chalo”. Un Dono Ne Kahaa , “ Hame Allah Ta’ala Ka Khouf Hai, Ham Tumhe Apne Saath Jannat Nahi Le Ja Sakte. Koi Dekh Lega”. Is Par Shaitaan Ne Unhe Apni Dosti Ka Waasta Diya. Toh Saanp Ne Mashwaraa Diya Ki, “Tum Saanp Ban Jaavo Aur Mor Tumhe Nigal Lega Aur Tumhe Jannat Me Ja Kar Ugal Dega. Is Tarhaa Koi Tumhe Dekh Na Paayega”. Shaitaan Fouran Saanp Ban Gayaa Aur Mor Ne Use Nigal Liya Aur Jannat Me Le Jakar Ugal Diya. Iss Tarhaa Shaitaan Jannat Me Dakheel Hone Par Qaamyaab Ho Gayaa. Shaitaan Ne Jannat Me Bibi Hawwa Aur Aadam (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Ki Aur Kahaa, “Mai Tumhaara Khairkhawaah Hoon, Tum Dono Ne Jannat Ke Uss Sajar Ka Fal Kyon Nahi Khaaya ?. Is Par Wo Dono Bole Ki, “Hame Allah Taala Ne Uss Sajar Se Door Rahne Ke Liye Kahaa Hai, Isiliye Ham Ne Wo Fal Nahi Khaaya”. Jab Aadam (Alaihay Salam) So Gaye Toh Shaitaan Ne Bibi Hawwa Ko Bahekaaya Aur Kahaa, “Allah Ta’ala Ne Tumhe Wo Fal Khaane Se Isiliye Manaa Kiya Hai Ki Kahi Wo Fal Khaa Kar Tum Farishta Na Ban Jaawo Aur Hamesha Ke Liye Jannat Me Na Rahne Lago”. Bibi Hawwa Ne Shaitaan Ke Bahkaave Me Aakar Wo Fal Khaa Liya Aur Jab Aadam (Alaihay Salam) So Kar Jaage Toh Unhe Bhi Bahut Israar Kar Ke Wo Fal Khilaa Diya”. Jaise Hi Un Dono Ne Wo Fal Khaaya Unka Jannat Ka Libaas Utar Gayaa. Aur Wo Dono Sharam Ke Maare Apni Apni Sharmgaah Chupaane Lage. Tab Hi Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Maine Tum Se Nahi Kahaa Tha Ki Uss Sajar Ke Paas Mat Jaana Aur Uska Fal Mat Khaana?. Tum Dono Ne Apni Jaan Par Zulm Kiya. “Aadam (Alaihay Salam) Ko Apni Galti Ka Ehsaas Huwa. Unhone Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Apne Gunaaho Ki Maafi Maangi. Allah Ta’ala Ne Farmaya, Al-quran : Tab Shaitan Ne Aadam Aur Hawwa Ko Dhoka Dekar Waha Se Dagmagaaya Aur Aakhirkaar Unko Jis (Aish Wa Rahat) Me The Unse Nikal Feka Aur Ham (Allah) ne Kaha (Aye Aadam! Wa Hawwa) Tum Zameen Par Utar Pado Tum Me Se Ek Ka Ek Dushman Hoga Aur Zameen Me Tumhare Liye Ek Khas Waqt (Qayamat) Tak Thahraaw Aur Thikana Hai. – (Surah Bakrah Aayat No.36) Aur Saanp Ke Pair (Legs) Chhin Liye Gaye, Jis Muhh Se Usne Mashwaraa Diya Tha Uss Se Abhraq Ki Khushboo Chhin Kar Uss Ke Muhh Me Zaher Bhar Diya Gayaa. Aur Mor Ki Khubsurati Chhin Li Gayee, Jis Pair (Legs) Se Wo Chalkar Jannat Me Shaitaan Ko Le Gayaa Tha Use Badsurat Banaa Diya Gayaa. Isiliye Aaj Bhi Jab Mor Apne Pankho Ko Dekhta Hai To Khush Hota Hai Aur Apne Pairo (Legs) Ko Dekhta Hai Toh Rotaa Hai. In Paacho (5) Ne Allah Ta’ala Ke Hukm Ki Nafarmaani Ki Thi Isiliye In Paancho Ko Zameen Par Alag Alag Fek (Utar) Diya Gaya .
Posted on: Fri, 17 Jan 2014 12:36:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015