GAANE(SONG) MAIN KUFRIYAAT MUSIC aur FILMI gaane gaana haraam - TopicsExpress



          

GAANE(SONG) MAIN KUFRIYAAT MUSIC aur FILMI gaane gaana haraam hain lekin aajkal baaz filmi gaano main kufri ashaar hote hain unka gaana kufr hain kuch aise gaano ke ashaar aapko batata hu jaise 1.Tumhare siwa kuch na chahat karenge ki jab tak jiyenge mohabbat karenge Saza rab jo dega manzoor hogi bas ab to tumhari ibaadat karenge (MAZALLAH) isme 2 kufr hain ALLAH ke azaab ko halka janna aur gair e khuda ki ibaadat ka irada 2.Duniya banane wale kya tere mann main samai Tune kahe ko duniya banai Is mein ALLAH par aitraaz hain jo ki kufr hain 3.jab se tere naina mere naino se laage re Tab se deewana hua sab se begaana hua Rab bhi deewana laage re (MAZALLAH) Is sher ke aakhri hisse main rab ko mazallah deewana kaha gaya jo ALLAH PAAK ki khuli tauheen hain aur kufr hain 4.Main pyaar ka pujaari mujhe pyaar chahiye Rab jaisa hi mujhe sundar yaar chahiye(MAZALLAH) Isme 2kufr hain ek toh gair e khuda ki pooja ka ikrar hain dusra ALLAH PAAK ki tarah kisi aur ka hona mumkin maana gaya hain aur yeh kufr hain 5.Ab yeh jaan le le ya rab ya imaan le le ya rab Do jahan le le ya rab ya khuda Fanaa fanaa yeh dil hua fanaa Is sher ke yeh hisse imaan le le ya rab main imaan chale jaane yaani kaafir ho jaane par raazi hona paaya ja raha hain aur kufr par raazi hona bhi kufr hain ALLAH KI PANAAH AFSOOS AFSOOS AAJ kitne log gaane ke tarannum ko pasand karke har kism ke gaane ko gaate hain aur yeh samajhne ki koshish bhi nahi karte ki gaane main kufri baatein hain aur yeh jahannam main le jayegi YAAD RAKHIYE EK bhi kufri sher jisne dilchaspi ke saath padha likha sunaya gaya woh kufr main ja padha aur ISLAM se khaarij hokar kaafir va murtad ho gaya IMAAN ,NAMAAZ ,ROZA,HAJJ saari IBAADAT bekar ho gayi shaadi shuda tha to biwi bhi gayi aur peer bhi gaya aur agar bagair Tauba ke maraa toh hamesha ke liye jahannam main gaya Us par FARZ hain fauran tauba kare kalma padh kar musalmaan ho ALLAH hum sabko HUZOOR NABI E KAREEM (SALLALLAHO ALEHI WASSALLAM )ke sadke main hamare gunaho ko maaf farmaye hum sab ko gunaaho se bachaye AMEEN - Waseem Barkati
Posted on: Tue, 15 Apr 2014 20:07:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015