* GHALIB * nam- mirza asadullah khan takhallus-pahle asad phir - TopicsExpress



          

* GHALIB * nam- mirza asadullah khan takhallus-pahle asad phir ghalib wiladat-1796 agra inteqal-1869 dehli laqab -mirza nausha khetab-najmuddaula dabeerulmulk nizam jang badshah dehli se 1849 men mila, walid-mirza abdullah chacha-nasrullah. Ghalib ki parwarish chacha nasrullah ne ki. Ghalib ko taleem shaikh muazzam ne di. Ghalib ko farsi ki taleem hurmuz ne di. Ghalib ki shadi ilahi bakhsh khan ki beti umrao begam se 13 sal ki umr men hui. Mumtaz husain ne ghalib ko nishat ka shair qarar diya hai. Tasaneef-1-aude hindi(khutoot ka majmua) 2-urdue mualla(khutoot ka mamua) 3-qate burhan(mirza ne farsi ki lughat burhane qate par etraz karte hue apni kitab ka nam qate burhan rakkha phir ek sal bad dirafshe kadiyani ke nam se shaya kiya) 4-panj ahang(farasi insha pardazi ke namoone) 5-mahre neem roz(ahde taimoor se humayoon tak ke tarikhi halat) 6-dastambu(ghadar ke halat) 7-char qasaed(do maula ali ki shan men aur do bahadur shah zafar ki shan men) 8-zainulabideen ka marsiya 9-mah neem mah(ahde akbar se bahadur shah zafar tak ke halat)na mukammal. 10- taighe tez(mirza ahmad beg ki moeede burhan ke jawab men likhi) 11-namae ghalib(sate burhan ke jawab men likhi) 12-masnawi bade mukhalif. ghalib ke khutoot ka majmua pahli bar1869 men shaya huwa. Ghalib ke shagird-yusuf ali khan,nawab ziyauddin khan nayyar darakhshan,meer menhdi majrooh,mirza qurban ali beg salik,hali,munshi har gopal taftah,nawab alauddin khan alwi,zaki,azeez,mushtaq,jauhar. ghalib do martaba rampur gaye,1860 men nawab yoosuf hasan khan ki dawat par rampoor men qayam kiya.
Posted on: Thu, 18 Sep 2014 09:00:44 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015