Har insan ke saath 2 farishte hote hain (must read).. . Jab - TopicsExpress



          

Har insan ke saath 2 farishte hote hain (must read).. . Jab duniya mein ek baccha paida hota hai to uske saath Allah 2 farishte rakh deta hai, Ek right hand side hota hai jiska kaam us insan ke acche kaam likhna hota hai, dusra left hand side mein hota hai jiska kaam us insan ke bure kaam llikhna hota hai. Dono insan ke kaandho par hote hain. Dono farishto mein acche kaam likhne wala farishta leader hota hai, jab insan acche kaam ka sirf irada karta hai chahe accha kaam karna shuru na kiya ho, wo insan ki neki (reward) likhna shuru kar deta hai, jese kisi insan ne garib ko paisa dene ki sochi, to uske sochte hi farishta neki likhna shuru kar deta hai aur tab tak likhta rahta hai jab tak wo us garib ko paisa na de de. aur ek neki ko 10 neki karke likhta hai (aesa karne ka hukm usko Allah ki taraf se hota hai, kyonki Allah bahut raham-o-kareem hai, wo chahta hai ki insan marne ke baad jab mere saamne acche aur bure kaam lekar aae to uski neki zyada ho taaki mein usko maaf kar saku aur jannat mein bhej saku). . Isi tarah jo left hand side wala farishta hota hai wo insan ke bure kaam likhta hai. Jab insan bure kaam ka irada karta hai to right hand side wala farishta usko rok deta hai (kyonki right hadn side wala farishta leader hai) right hand side wala farishta, left hand side wale farishte ko bolta hai ki is insan ne abhi bure kaam ka sirf irada kiya hai, lekin usne bura kaam kiya nahi hai, ho sakta hai ki aakhri time par iska mann badal jaye aur yeh bura kaam na kare. Lekin jab insan bure kaam ko kar leta hai to uske baad left hand side wala farishta uske bure kaam ko likh leta hai, aur ek burai ko ek hi likhta hai. Jab insan mar kar Allah ke saamne jayega to Allah in hi farishto ke likhe hue acche aur bure kaam insan ke aage rakh dega, ki tumne duniya mein kya kiya hai. Halaki Allah ko sab maloom hota hai lekin phir bhi usne ek system banaya hai, aur farishte bhi usi system ke andar kaam karte hain..
Posted on: Wed, 09 Apr 2014 03:45:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015