Heart touching love story of a boy for his sister and mother - TopicsExpress



          

Heart touching love story of a boy for his sister and mother Main jab tak apne bete ke liye toy lene store pahuncha, vahan bahut bheed ho chuki thi. Aakhir , kal Christmas day tha aur sabhi apne bachchon ke liye gifts khareed rahe the. Main office mein der karne ke liye khud ko kos raha tha aur koi toy dekh raha tha jo mere son ko pasand aa jaye. Tabhi meri najar ek bachche par padi jo ek kone mein ek sundar si doll ko hath mein liya khada tha. Pas hi ek bahut hi budhi mahila khadi thi jo use kah rahi thi ki “beta tumhare pas itne paise nahin hain kit um ise khareed sako.” “lekin dadi, main to bhagwan se pary karke aaya tha ki mujhe itne paise de dena ki main ye doll le sakun”. Us bachche ki dadi use vahin wait karne ko kah kar baki saman ki billing karane chali gai. Main us bachche ke pas gaya to maine puchha kya bat hai beta? Ye doll kiske liye? Mujhe ajeeb lag raha tha kyunki boys to doll se khlte nahin. Ye doll meri chhoti sister ke liye hai leni hai. Use ye bahut pasand thi. Ok, to vo kyun nahin aayi ye doll lene? Nahin vo nahin aa sakti. Vo bhagwan ke pas chali gai hai aur mere papa kah rahe the ki mom bhi vahin jane vali hain. Main isiliye ye doll lena chahta hun ki jab mom bhagwan ke pas jayen to ye doll meri chhoti sister ko de de. Use ye doll bahut pasand thi. Mera dil us bachche ke apni sister ke pyar ko dekh kar bhar aaya. Maine kaha – chalo, ek bar fir ginte hain. Shayad tumhare pas itne paise hon jisse tumharee sister ke liye ye doll aa jaye. Aur is bar maine uske paise ginte hue apne pas se kuchh rupaye mila diye. Bachcha to khushi se uchhal pada. Ab main ye doll bhi le paunga aur mom ke liye ek pink rose bhi. Meri mom ko rose bahut pasand hain. Thank You God! Mujhe pata tha kit um meri prayer jaroor sunoge. Maine apne bachche ke liye ek toy khareeda aur dil mein santosh aur ek dard bhari khushi le kar vahan se laut aaya. Agle din meri najar khbaar mein ek khabar par padi. Usmein likha tha ki kuchh din pahle ek road accident mein ek speeding car ne ek chhoti si ladki aur uski mom ko kuchal diya tha. Ladki to on the spot hi mar gai lekin uski mom hospital mein ICU mein thi jiska bachna bahut mushkil tha. Mujhe laga ki kahin ye usi bachche ki mom aur sister to nahin the. Aur agle din hi akhbaar mein us mom ke marne ki bhi khabar aai. Maine socha main uske antim rites ke liye jaroor jaunga. Main jab vahan gaya to maine dekha ki kafan ke upar ek pink rose aur us bachche aur uski sister ki photo rakhi thi. Us bachche ke pyaar ko dekh kar meri aankhein ek bar fir bhar aai
Posted on: Fri, 09 Aug 2013 04:36:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015