∗ Hiqayat-(Part 10) : Loot (Alaihay Salam)“Bismillah Hir - TopicsExpress



          

∗ Hiqayat-(Part 10) : Loot (Alaihay Salam)“Bismillah Hir Rahemanir Rahim «Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Bhatije (Loot Alaihay Salam) Ki Qaum Ko Dardnak Azaab Jise Aaj Dead Sea Bhi Kaha Jata HaiAziz Dosto ,… Allah Ta’ala Ne Insaano Ko Aur Jaanwaro Ko Jode Me Paida Kiya, Jaise Nar Aur Maada, Insaano Me Mard Aur Aurat Banaayee, Taaki Woh Dono Ek Dusre Ko JayazTarike Se Khushi De Sake. Ham Yahaa Par Aaj Hazrat Loot (Alaihay Salam) Ka Ziqr Karege.Loot (Alaihay Salam) Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Zamaane Ke Nabi Hai, Hazrat Loot (Alaihay Salam), Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Bhatije The. Aur Un Par Imaan Laane Walo Me Se The. Hazrat Loot (Alaihay Salam) Ko Allah Ta’ala Ne Ek Aisi Qaum Ki Taraf Bheja Jo Falisteen (Baitul Muqaddas) Ya Jordan Ke AasPaas Basi Huyee Thi. Jise Sadoom Kahaa Jaata Tha.Ye Sirzameen Sirsabaj (Green, Hariyaali) Aur Shadaab Thi. Aur Yahaa Par HarTarhaa Ka Anaaj (Galla) Aur Falo (Fruite) Ki Qasrat Thi.Iss Qoum Ke Liye Loot (Alaihay Salam) Ko Nabi Banakar Bheja Gayaa Isiliye Iss Qoum KoQoum-e-Loot Kahaa Jaata Hai. Is Qoum Me Us Waqt Aisi Buraayee Paayee Jaati Thi Jo Unse Pahele Duniya Ki Kisi Bhi Qoum Me Nahi Paayee Gayee. Uss Qoum Ke Mard (Aadmi) Apni Nafsiyaati (Jismaani ) Khawaahish Ko Pui Karne Ke Liye Mardo (Aadmi Yo) Ke Paas Jaate The. Aur Ye Be-Hayaayee Aur Buraayee Itni Aam Ho Gayee Thi Ke Wo Apne Is Bure Kaam Ko Bura Nahi Samjhte The, Balki Uss Par Fakhar Kiya Karte The.Riwaayato Me Hai Ki Is Be-Hayaayee Ke KaamKi Shuruwaat Shaitaan Ne Ki, Woh Ek Khoobsurat Noujawaan Bankar Aaya Aur Apne Saath Wahaa Ke Mardo Ko Bura Kaam Karne Ke Liye Bahekaaya. Aur Is Tarha Qoum-e-LootMe Ye Buraayee Paida Ho Gayee Woh Log Aurato Ko Chorr Kar Mardo Se Apni Hawas Puri Karne Lage. Ruye Duniya Me Ye Bura Kaam Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum Se Shuru Huwaa Tha Isiliye Aaj Bhi Iss Bure Kaam Ko Lawatist (Lawaatat) Ke Naam Se Jaana Jata Hai.Loot (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Ki Islaah Ki Bahut Koshish Ki, Kayee Baras Unke Beech Me Rahkar Deen Ki Daawat Dete Rahe. Nasihat Karte Rahe, Allah Ta’ala Ke Azaab Ki Dhamki Dete Rahe. Lekin Un Ki Qoum Par Koi Asar Na Huwaa. Loot (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Meri Qoum Tum Log Aisa Buraa Aur Behayaayee Ka Kaam Kar Rahe Ho Jo Aaj Tak Duniya Me Kisi Ne Na Kiya, Ye Bahut Gunaah Ka Kaam Hai, Tum Apni Aurato Ko Chorr Kar Mardo Ke Paas Jaate Ho, Agar Tum Apne Is Bure Kaam Se Baaz Na Aaye To MujheDarr Hai Ek Din Tumhe Allah Ta’ala Ka Azaab Aa Ghere Ga. Main Tumse Apne Ajar (DaawateHaq Dene) Ki Koi Kimat Nahi Maangta Mera Ajar To Mere Rab Ke Paas Hai, Jo Saare Aalam Ka Malik Hai”.Is Par Unki Qoum Ke Jo Doulatmand Bigdail Ya Amir Sardaar The Unhone Kahaa, “Hame Nasihat Mat Karo, Bade Paak Saaf Bante Ho, Agar Tumne Nasihat Dena Band Na Kiya To Ham Tumhe Shahar Se Baahar Nikaal Dege”.Loot (Alaihay Salam) Ki Nasihato Ka Jab Unki Qoum Par Asar Na Huwa Siwaaye Thode Se Logo Ke Jo Imaan Laaye, To Loot (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Ki Baargaah Me DuwaaKi, “Aye Mere Rab Maine Apni Qoum Me Din Raat Tableeg Ki Aur Unhe Tere Azaab Se Daraya, Lekin Wo Apne Kufar Me Aur Aage Badh Gaye, Ab Mere Rab. Ab Ye Imaan Nahi Laane Wale, Ab Inka Faislaa Tu Hi Kar”.Allah Ta’ala Ne Qoum-e-Loot Ko Azaab Dene Ke Liye 2 Farishte Bheje. Dono Farishte Jab Naazil Huwe To Pahele Ibraahim (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoonche. Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Socha Ki Ye Koi Musaafir Hai, Isiliye Unhe Apne Mehmaankhaane Me Le Gaye.Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Ek Aadat (Sunnat) Thi Ke Jab Tak Unke Dastarkhaan Par Koi Mehmaan Na Ho To Wo Khana Nahi Khaate The. Apne Mehmaano Ke Liye Unhone Jaldi Se Ek Bhuna Huwa Bakraa Layaa Aur Unke Saamne Pesh Kiya, Lekin Jab Farishto Ne Khaane Ki Taraf Haath Na Badhaaya To Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Kuch Khouf Huwaa, Kahee Ye Dushman To Nahi Ya Koi Bura Iraada Le Kar To Nahi Aaye.Tab Faristo Ne Kahaa, “Ham Azaab Ke Farishte Hai Aur Qoum-e-Loot Ki Taraf Bheje Gaye Hai, Ham Se Mat Daro, Ham To Tumhe Khush Khabri Dene Aaye Hai, Ham Tumhe Aulaad (Beto) Ki Basharat Dene Aaye Hai. Tumhe Do (2) Aulaade Hogi, Ishaq (Alaihay Salam) Aur Ismaayeel (Alaihay Salam)”. Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Ta-Ajjub Huwaa Unhone Kahaa, “Mujhe Bhala Kis Tarhaa Aulaade Hogi Main Budhha Ho Gaya Hoon, Mere Sir Ke Saare Baal Safed Ho Chuke Hai Aur Meri Biwi Budhhi Aur Baanjh Hai”.Faristo Ne Kahaa, “Allah Ta’ala Jise Chaahte Hai Aulaade Dete Hai. Aur Ye Allah Ta’ala Ke Liye Aasaan Hai. Allah Ta’ala Har Cheez Par Qaadeer Hai”Jab Farishto Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Aulaad Ki Khush Khabri Di. Aur Kahaa Ke, “Ham Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum Par Azaab Dene Ke Liye Bheje Gaye Hai Toh Ibrahim (Alaihay Salam) Unse Jhagadne Lage,Kyonki Ibrahim (Alaihay Salam) Bade Rahemdil Aur Nek Insaan The. Unhone Kahaa, “Uss Qoum Me To Loot (Alaihay Salam) Bhi Moujood Hai, Aur Woh To Bade Nek Muttaqi Aur Parhezgaar Aur Allah Ta’ala Ke Ibaadat Guzaar Bande Hai”.Is Par Farishto Ne Kahaa, “Ham Unhe Aur Jo Unke Saath Imaan Laaya Hai Use Bachaa Lege. Siwaaye Unki Biwi Ke Jo Ki Kaafir Hai Aur Piche Rah Jaane Wale Logo Me Se Hogi”.Farishte Shaam Hone Se Pahele Loot (Alaihay Salam) Ke Paas Do (2) Kamsin Khoobsurat Noujawaan Ki Shaqal Me Pahunche. Woh Unke Yahaa Mehmaan Ban Kar Aaye. Loot (Alaihay Salam) Ko Apni Qoum Ke Logo Ki Khabaasat Ka Pata Tha. Isiliye Jab Unhone Jab Apne Kamsin Khoobsurat Noujawaan Mehmaano Ko Dekha Toh Gamgeen Ho Gaye Aur Dil Hi Dil Me Kudhne Lage Aur Kahehe Lage Aaj Ka Din Badi Musibat Ka Din Hai. Unhe Unki Fiqar La-Haq Huyee. Ke Kahee UnkiQoum Ke Log Unke Mehmaano Ke Sath Koi Buraa Kaaam Na Kare. Isiliye Woh Jaldi Se Apne Mehmaano Ko Apne Ghar Ke Andar Le Gaye. Lekin Unki Biwi Doudti Huyee Gayee Aur Apne Qoum Ke Bigdail Amir Sardaaro Aur Badkaaro Ko Apne Ghar Me Aaye Huve Mehmaano Ki Khabar Dedi. Qoum Ke Badkaar Log Loot (Alaihay Salam) Ke Ghar Aa Pahooche. Aur Loot (Alaihay Salam) Se Kahaa,“Un Ladko Ko Hamaare Hawaale Kar Do”,Loot (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Ye Mere Mehmaan Hai Main Inko Hargeez Tum Logo Ke Hawaale Nahi Karooga, Tumhe Allah Ta’alaKa Waasta Hai, Mere Mehmaano Ke Saamne Mujhe Zalil (Be- Izzat) Aur Ruswaa Na Karo, Kya Tum Me Se Koi Bhi Bhalaa Aadmi Nahi Hai? Aur (Qaum Ki Aurto Ki Taraf Ishara Karte Hue Kaha) Ye Meri Betiyaa (Ya Qoum Ki Betiyaa) Hai Tum Inse Nikaah Kar Lo Aur Apni Nafsiyaati (Jismani ) Khawaahisaat Ko In Se Puraa Kar Lo”.Lekin Unki Qoum Ke Log Nahi Maane, Aur Kahaa, “Tum Achchi Tarhaa Jaante Ho Ki HamKya Chaahte Hai, Ham Tumhe Kal Subah Tak Ki Mohlat Dete Hai, Kal Subah Ke Baad Tum Hame Rok Na Paawoge”. Ye Kahekar Woh Log Chale Gaye.Apni Bebasi Par Loot (Alaihay Salam) Ki Aankho Me Aansoo Aa Gaye, Woh Chaahkar Bhi Apne Mehmaano Ki Hifaazat Nahi Kar Sakte The Kyonki Unki Qoum Ke Badkaar Log Taadad Me Jiyaada Aur Taaqatwar The. Hazrat Loot (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Kaash , Mujh Me Tum Se Muqaable Ki Quwat Hoti Ya Main Kisi Zabardast Ka Aasraa Pakad Paata”.Tab Farishto Ne Kahaa, “Ham Azaab Ke Farishte Hai, Aye Loot (Alaihay Salam) ! Ghabraane Ki Zaroorat Nahi Hai, Ham Tak To Kya, Ab Woh Tum Tak Bhi Nahi Pahooch Sakege, Allah Ta’ala Ne Hame Aapki Qoum Ko Azaab Dene Ke Liye Bheja Hai, Aap Aur Aap KeSaath Jo Log Bhi Imaan Laaye Hai Subah Saadiq Se Pahele Is Basti Ko Chod Kar Door Chale Jaaye, Aur Khabardaar Koi Mud Kar Piche Na Dekhe, Ab In Gunaahgaaro Me Se KoiNahi Bachne Wala”.Loot (Alaihay Salam) Aur Jo Log Unke Saath Imaan Laaye The Subah Hone Se Pahele Basti Chodkar Door Jaa Chuke The, Sirf Loot (Alaihay Salam) Ki Biwi Piche Rah Gayee Kyonki Woh Bhi Kaafir Thi. Ab Farishto Ne Zameen Ko Jadh Se Ukhaadkar Palat Diya Aur Kayee Kilometer (Taqreeban 40 Kilometer) TakGahre Zameen Me Dhasaa Diya, Phir Unpar Paththar Aur Tezaab Ki Baarish Ki Is Tarhaa Un Gunaahgaaro Ka Namo-Nishaan Mita Diya Koi Bhi Na Bach Saka.Jahaa Azaab Huwaa Tha Woh Jagaah Aaj Bhi Moujood Hai, Use Dead Sea Ya Maraa Huwaa Samundar Ya Marat Saagar, Bahar-e-MurdaarYa Bahar-e-Loot (Alaihay Salam) Ke Naam Se Jaana Jaata Hai. Aur Aaj Bhi Uspar Jo Azaab Huwaa Tha Uski Wajaah Se Us Samundar Me Machli (Fish) To Kya Koi Kidaa Makodaa Bhi Nahi Paidaa Hota. Aur Uska Paani Itna Namkeen Hai Ki Usko Muhh Se Laga Lo To UltiHo Jaaye. Gunaahgaaro Aur Nafarmaano Ko Allah Ta’ala Is Tarhaa Azaab Deta Hai Zindagi Me Bhi Aur Marne Ke Baad Bhi. Lekin Afsos Ki Baat Hai Ki Insaan Aisi Baato Se Koi Sabak Nahi Leta. Aaj Kuch Modern Kisam Ke Log Aur Yahood Aur Nasaara Is Bure Kaam Ko Buraa Nahi Jaante Aur Aise Bure Kaam Karne Waalo Ko Qanooni Maannayata (Darzaa) De Rahe Hai. Allah Ta’ala Ham Sab Logo Ko Aise Bure Kaam Aur Aise Bure Khayaalat Se Bachaaye…AmeenInsha Allah Agla Part Nayi Hiqayat Ke Sath Bohot Jald
Posted on: Sat, 03 Aug 2013 04:57:34 +0000

Trending Topics



olsas
God’s peace is
Por que estou tão desanimado na vida espiritual? Enviado por:

Recently Viewed Topics




© 2015